targhib
kabhī tum jo aao
to maiñ sub.h ke chhuTpuTe meñ
tumheñ sab se ūñchī imārat kī chhat se dikhā.ūñ
daraḳhtoñ ke ik sabz kambal meñ lipTā huā shahr saarā
kalas aur mehrāb ke darmiyāñ uḌne vaale muqaddas kabūtar
bahut duur chāñdī ke ik taar aisī nadī
is se aage jarī kohsāroñ kā ik surma.ī silsila
kabhī tum jo aao
to maiñ ek taptī huī dopahar meñ
tumheñ apne is āhanī shahr meñ le chalūñ
ek lohe ke jhūle meñ tum ko biThā.ūñ
tumheñ sab se ūñchī imārat kī chhat se dikhā.ūñ
miloñ ke siyah rañg nathnoñ se bahtā dhuāñ
tañg galiyoñ se ristī huī nāliyāñ
jo masāmoñ kī sūrat
makānoñ ke jismoñ se gaaḌe pasīne ko ḳhārij kareñ
khāñstī hoñktī shāhrāheñ
hirāsāñ ġhasīlī, thakī Texiyāñ
purāne grandiel peḌoñ ke kaTne kā manzar
shikasta imārāt kī haDDiyoñ par
muḌī choñch vaale siyah-fām bulldozeroñ ke jhapaTne kā vahshī samāñ
kabhī tum jo aao
to maiñ tum ko palkoñ par apnī biThā.ūñ
tumheñ apne siine ke andar kā manzar dikhā.ūñ
kabhi tum jo aao
to main subh ke chhuTpuTe mein
tumhein sab se unchi imarat ki chhat se dikhaun
daraKHton ke ek sabz kambal mein lipTa hua shahr sara
kalas aur mehrab ke darmiyan uDne wale muqaddas kabutar
bahut dur chandi ke ek tar aisi nadi
is se aage jari kohsaron ka ek surmai silsila
kabhi tum jo aao
to main ek tapti hui dopahar mein
tumhein apne is aahani shahr mein le chalun
ek lohe ke jhule mein tum ko biThaun
tumhein sab se unchi imarat ki chhat se dikhaun
milon ke siyah rang nathnon se bahta dhuan
tang galiyon se risti hui naliyan
jo masamon ki surat
makanon ke jismon se gaDe pasine ko KHarij karen
khansti honkti shahrahen
hirasan ghasili, thaki Texiyan
purane grandiel peDon ke kaTne ka manzar
shikasta imaraat ki haDDiyon par
muDi chonch wale siyah-fam bulldozeron ke jhapaTne ka wahshi saman
kabhi tum jo aao
to main tum ko palkon par apni biThaun
tumhein apne sine ke andar ka manzar dikhaun
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.