tarjuman-e-mustaqbil
Interesting Fact
Dedicated to Ali Jawad Zaidi
tirī nigāh ki hai pāsbān-e-mustaqbil
sunā rahī hai hameñ dāstān-e-mustaqbil
tirī hayāt ki hai tarjumān-e-mustaqbil
liye hai kaif-o-nashāt-e-jahān-e-mustaqbil
hai sar-buland kabhī se nishān-e-mustaqbil
zamīñ ko tū ne kiyā āsmān-e-mustaqbil
tujhī se ġhairat-e-kashmīr hai dayār-e-vatan
tujhī se rashk-e-iram gulistān-e-mustaqbil
tire yaqīñ ne kiyā hai vo inqilāb-e-azīm
ki ahd-e-hāl pe ab hai gumān-e-mustaqbil
chaman ke ḳhvāb kī ta.abīr hai junūñ terā
hue haiñ ġhuncha-o-gul nukta-dān-e-mustaqbil
tire nafas-ba-nafas irtiqā zamāne kā
tire qadam-ba-qadam hai zamān-e-mustaqbil
shab-e-hayāt kī is be-panāh zulmat meñ
nuqūsh-e-pā haiñ tire kahkashān-e-mustaqbil
har ik nafas hai tirā ham-rikāb asr-e-ravāñ
har ik nazar hai tirī kārvān-e-mustaqbil
amīn-e-rāz vahī hai vatan kī qismat kā
tirā 'jamāl' ki hai rāz-dān-e-mustaqbil
teri nigah ki hai pasban-e-mustaqbil
suna rahi hai hamein dastan-e-mustaqbil
teri hayat ki hai tarjuman-e-mustaqbil
liye hai kaif-o-nashat-e-jahan-e-mustaqbil
hai sar-buland kabhi se nishan-e-mustaqbil
zamin ko tu ne kiya aasman-e-mustaqbil
tujhi se ghairat-e-kashmir hai dayar-e-watan
tujhi se rashk-e-iram gulistan-e-mustaqbil
tere yaqin ne kiya hai wo inqilab-e-azim
ki ahd-e-haal pe ab hai guman-e-mustaqbil
chaman ke KHwab ki tabir hai junun tera
hue hain ghuncha-o-gul nukta-dan-e-mustaqbil
tere nafas-ba-nafas irtiqa zamane ka
tere qadam-ba-qadam hai zaman-e-mustaqbil
shab-e-hayat ki is be-panah zulmat mein
nuqush-e-pa hain tere kahkashan-e-mustaqbil
har ek nafas hai tera ham-rikab asr-e-rawan
har ek nazar hai teri karwan-e-mustaqbil
amin-e-raaz wahi hai watan ki qismat ka
tera 'jamal' ki hai raaz-dan-e-mustaqbil
- Book : Karwan-e-azadi (Pg. 203)
- Author : Masood Akhtar Jamal
- Publication : Basmah Khatoon (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.