tark-e-daryuza
ab na phailāuñgā maiñ dast-e-savāl
maiñ ne dekhā hai ki majbūr hai tū
merī duniyā se bahut duur hai tū
terī qismat meñ jahāñbānī hai
merī taqdīr meñ hairānī hai
bazm-e-hastī meñ sar-afrāz hai tū
mere anjām kā āġhāz hai tū
tū hai āsūda-e-farsh-e-sanjāb
ḳhuld hai tere shabistāñ kā javāb
masjid-e-shahr kī mehrāb kā ḳham
terī taqdīs kī khātā hai qasam
maiñ huuñ ik shā.er-e-āvāra-mizāj
aur tire farq pe aḳhlāq kā taaj
maiñ ne aalam se baġhāvat kī hai
tū ne har shai se mohabbat kī hai!
maiñ ne maz.hab pe bhī ilzām dharā
tū ne vahmoñ ko bhī īmāñ samjhā
gil kahāñ aur ḳhas-o-ḳhāshāk kahāñ
ālam-e-pāk kahāñ ḳhaak kahāñ
ab na phailāuñgā maiñ dast-e-savāl
ab na phailaunga main dast-e-sawal
main ne dekha hai ki majbur hai tu
meri duniya se bahut dur hai tu
teri qismat mein jahanbani hai
meri taqdir mein hairani hai
bazm-e-hasti mein sar-afraaz hai tu
mere anjam ka aaghaz hai tu
tu hai aasuda-e-farsh-e-sanjab
KHuld hai tere shabistan ka jawab
masjid-e-shahr ki mehrab ka KHam
teri taqdis ki khata hai qasam
main hun ek shaer-e-awara-mizaj
aur tere farq pe aKHlaq ka taj
main ne aalam se baghawat ki hai
tu ne har shai se mohabbat ki hai!
main ne mazhab pe bhi ilzam dhara
tu ne wahmon ko bhi iman samjha
gil kahan aur KHas-o-KHashak kahan
aalam-e-pak kahan KHak kahan
ab na phailaunga main dast-e-sawal
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 224)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.