tark-e-mohabbat ke baad
ġhair kī ho ke bhī tum merī mohabbat chāho
is ghaTā-Top añdhere meñ ye taare kaise
farsh par jis ko abhī tak na milī jaa.e panāh
arsh se chāñd kā aivān utāre kaise
jis kī rāhoñ pe bhaTakte hue jag biite haiñ
phir usī dasht ko bad-baḳht sudhāre kaise
qāfile aa.e ga.e gard uThī baiTh ga.ī
ab musāfir ko ufuq par se ishāre kaise
jin kī taqdīr meñ thā dāman-e-gulchīñ kā mazār
vo shagūfe to parā.e haiñ hamāre kaise
pesh kar saktā huuñ lekin tujhe bahlāne ko
chāñdnī-rāt meñ machle hue rūmān kī yaad
bed-e-majnūñ ke tilismāt se pal-pal chhantī
āsmānoñ ko lapaktī huī ik taan kī yaad
merī vāraftagī-e-shauq kī sun kar rūdād
tirī āñkhoñ meñ damakte hue armān kī yaad
donoñ chehroñ pe shafaq donoñ jabīnoñ pe araq
donoñ sīnoñ meñ dhaḌakte hue haijān kī yaad
kaun haiñ aap mirī ziist kī tanhā.ī sāthī
pahlī pahchān kī yaad āḳhirī paimān kī yaad
ghair ki ho ke bhi tum meri mohabbat chaho
is ghaTa-Top andhere mein ye tare kaise
farsh par jis ko abhi tak na mili jae panah
arsh se chand ka aiwan utare kaise
jis ki rahon pe bhaTakte hue jag bite hain
phir usi dasht ko bad-baKHt sudhaare kaise
qafile aae gae gard uThi baiTh gai
ab musafir ko ufuq par se ishaare kaise
jin ki taqdir mein tha daman-e-gulchin ka mazar
wo shagufe to parae hain hamare kaise
pesh kar sakta hun lekin tujhe bahlane ko
chandni-raat mein machle hue ruman ki yaad
bed-e-majnun ke tilismat se pal-pal chhanti
aasmanon ko lapakti hui ek tan ki yaad
meri waraftagi-e-shauq ki sun kar rudad
teri aankhon mein damakte hue arman ki yaad
donon chehron pe shafaq donon jabinon pe araq
donon sinon mein dhaDakte hue haijaan ki yaad
kaun hain aap meri zist ki tanhai sathi
pahli pahchan ki yaad aaKHiri paiman ki yaad
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 74)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.