tark-e-talluq ke baad
ab chaa.e ThanDī nahīñ hogī
dāḌhī ab nahīñ baḌhegī
ab qamīs ke baTan nahīñ TūTeñge
taġhāful kisī kā ab nahīñ satā.egā
ab kisī ke intizār kā ġham nahīñ rulā.egā
thakan ab pairoñ se nahīñ uljhegī
fāsle ab darmiyāñ nahīñ ā.eñge
dil meñ ab koī ḳhalish nahīñ hogī
ab der tak niiñd aa.egī
office jaane ke liye
mujhe ab biivī jagā.egī
ab chae ThanDi nahin hogi
daDhi ab nahin baDhegi
ab qamis ke baTan nahin TuTenge
taghaful kisi ka ab nahin sataega
ab kisi ke intizar ka gham nahin rulaega
thakan ab pairon se nahin uljhegi
fasle ab darmiyan nahin aaenge
dil mein ab koi KHalish nahin hogi
ab der tak nind aaegi
office jaane ke liye
mujhe ab biwi jagaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.