tasalli
bahut der se ek chiḌiyā
merī chhat kī kaḌiyoñ meñ baiThī huī
apne bachchoñ ko duniyā ke ādāb sikhlā rahī hai
ki bahlā rahī hai
so na jā mere nanhe yuuñ bhūke na so
abhī jabki bārish rukegī
maiñ uḌ kar bahut duur se daana lā.ūñgī
daana bahut Dher sā
ḳhuub khā.eñge mil kar
abhī bas zarā der meñ
duur ūñche gagan meñ magar
kaale ghanghor bādal
ye sun kar faqat hañs paḌe
bahut der se ek chiDiya
meri chhat ki kaDiyon mein baiThi hui
apne bachchon ko duniya ke aadab sikhla rahi hai
ki bahla rahi hai
so na ja mere nanhe yun bhuke na so
abhi jabki barish rukegi
main uD kar bahut dur se dana laungi
dana bahut Dher sa
KHub khaenge mil kar
abhi bas zara der mein
dur unche gagan mein magar
kale ghanghor baadal
ye sun kar faqat hans paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.