tasalli
hausla apnā haar kar āḳhir
yūñhī rotī rahogī tum kab tak
log kab tak batāo ā.eñge
dard kab tak tumhārā bāñTeñge
deñge kab tak tumheñ tasallī sab
haal kab tak tumhārā pūchheñge
log phir tum se uub jā.eñge
aur tum se nazar churāeñge
sirf sab ġham sunā kareñ tum se
kyuuñ tavaqqo.a karo ye tum sab se
ġham kī bātoñ se aur ġham hogā
rafta rafta hī dard kam hogā
apne jazbāt ko dabā kar tum
saarī yādoñ ko ek dhāge meñ
jā ke tanhā.ī meñ piro lenā
apne takiye faqat bhigo lenā
hausla apna haar kar aaKHir
yunhi roti rahogi tum kab tak
log kab tak batao aaenge
dard kab tak tumhaara banTenge
denge kab tak tumhein tasalli sab
haal kab tak tumhaara puchhenge
log phir tum se ub jaenge
aur tum se nazar churaenge
sirf sab gham suna karen tum se
kyun tawaqqoa karo ye tum sab se
gham ki baaton se aur gham hoga
rafta rafta hi dard kam hoga
apne jazbaat ko daba kar tum
sari yaadon ko ek dhage mein
ja ke tanhai mein piro lena
apne takiye faqat bhigo lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.