tasalli
utartī raat ke ziine se lag kar sochtā huuñ
sub.h jab hogī
maiñ apnī justujū meñ chal paḌūñgā
sā.atoñ ke TūTte sahrā se niklūñgā
na.ī manzil nayā jaadū ujālā hī ujālā
duur tak insāniyat kā bol-bālā
ḳhayāl achchhā hai ḳhud ko bhuul jaane kā
chalo yuuñ bhī to kar dekheñ
utarti raat ke zine se lag kar sochta hun
subh jab hogi
main apni justuju mein chal paDunga
saaton ke TuTte sahra se niklunga
nai manzil naya jadu ujala hi ujala
dur tak insaniyat ka bol-baala
KHayal achchha hai KHud ko bhul jaane ka
chalo yun bhi to kar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.