tasalli
rāste ke pech-o-ḳham dushman sahī
fāsle haiñ munhasir raftār par
kaan mat dharnā dil-e-āzurda kī siskār par
kyā huā chullū jo chhalnī haiñ abhī
hoñT kyoñ hoñ tishnagī ke ishtihār
kyā huā soche hue manzar jo haath aa.e nahīñ
aañkh sā dariyā bane kyoñ reg-zār
naaz ho tahsīl kā yā nā-rasā.ī kā malāl
har tag-o-dau hai qavī kā ishti.āl
soch saktā hai khule dil se to bas itnā hī soch
sheva-e-hirmān-o-yās achchhā nahīñ
zindagī kā yuuñ libās achchhā nahīñ
TuuT kar sālim bane rahnā agarche hai fareb
mo'tariz hotā nahīñ koī magar ilhāq par
ba.az taḳhlīqī amal ke mā-sivā
kaun sā ilzām aatā hai kisī tiryāq par
raste ke pech-o-KHam dushman sahi
fasle hain munhasir raftar par
kan mat dharna dil-e-azurda ki siskar par
kya hua chullu jo chhalni hain abhi
honT kyon hon tishnagi ke ishtihaar
kya hua soche hue manzar jo hath aae nahin
aankh sa dariya bane kyon reg-zar
naz ho tahsil ka ya na-rasai ka malal
har tag-o-dau hai qawi ka ishtial
soch sakta hai khule dil se to bas itna hi soch
shewa-e-hirman-o-yas achchha nahin
zindagi ka yun libas achchha nahin
TuT kar salim bane rahna agarche hai fareb
mo'tariz hota nahin koi magar ilhaq par
baz taKHliqi amal ke ma-siwa
kaun sa ilzam aata hai kisi tiryaq par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.