tasalsul
kab se sunsān ḳharāboñ meñ paḌā thā ye jahāñ
kab se ḳhvābīda the is vādī-e-ḳhārā ke sanam
kis ko ma.alūm ye sadiyoñ ke pur-asrār bharam
kaun jaane ki ye patthar bhī kabhī the insāñ
sirf lab-doḳht parbat haiñ jahāñ nauha-kunāñ
na dar-o-bām na dīvār o darīcha koī
koī dahlīz-e-shikasta na harīm-e-vīrāñ
shahr ke shahr haiñ pātāl ke dāman meñ nihāñ
kaun pahchāntā zulmat haiñ siyāhī ke nishāñ
jo nazar DhūñDne uTThī vo nazar bhī khoī
chashm-e-mahtāb bhī shabnam kī jagah ḳhuuñ roī
ilm ne aaj kurede haiñ vo zulmāt ke Dher
vaqt ne jis pe biThā.e the fanā ke pahre
jaag uThe sūr-e-sarāfīl se gūñge bahre
tā-abad jin ke muqaddar meñ thī duniyā andher
ye magar azmat-e-insāñ hai ki taqdīr ke pher?
ye imārāt, ye mīnār, ye gulzār, ye khet
toda-e-ḳhāk se hastī ne liyā taaza janm
jī uThe vādī-e-ḳhāmosh ke be-jān sanam
phir koī chīregā zarre kā jigar qatra-e-yam
dafn kar degā jo ḳhāliq ko bhī maḳhlūq samet
aur ye ābādiyāñ ban jā.eñgī phir ret hī ret
kab se sunsan KHarabon mein paDa tha ye jahan
kab se KHwabida the is wadi-e-KHara ke sanam
kis ko malum ye sadiyon ke pur-asrar bharam
kaun jaane ki ye patthar bhi kabhi the insan
sirf lab-doKHt parbat hain jahan nauha-kunan
na dar-o-baam na diwar o daricha koi
koi dahliz-e-shikasta na harim-e-viran
shahr ke shahr hain patal ke daman mein nihan
kaun pahchanta zulmat hain siyahi ke nishan
jo nazar DhunDne uTThi wo nazar bhi khoi
chashm-e-mahtab bhi shabnam ki jagah KHun roi
ilm ne aaj kurede hain wo zulmat ke Dher
waqt ne jis pe biThae the fana ke pahre
jag uThe sur-e-sarafil se gunge bahre
ta-abad jin ke muqaddar mein thi duniya andher
ye magar azmat-e-insan hai ki taqdir ke pher?
ye imaraat, ye minar, ye gulzar, ye khet
toda-e-KHak se hasti ne liya taza janm
ji uThe wadi-e-KHamosh ke be-jaan sanam
phir koi chirega zarre ka jigar qatra-e-yam
dafn kar dega jo KHaliq ko bhi maKHluq samet
aur ye aabaadiyan ban jaengi phir ret hi ret
- Book : Kulliyat-e-Ahmad Faraz (Pg. 442)
- Author : Ahmad Faraz
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.