tasalsul
ek hī bistar par leTe hue
kabhī-kabhār
do jismoñ ke darmiyān
chand shiknoñ kā fāsla
sadiyoñ par phail jaatā hai
us lamhe ke paikār meñ
bāham paivast do jismoñ se
paidā hone vaalā
tīsrā badan
saarī umr
firāq kī ghaḌiyāñ ginte ginte
āḳhir isī zanjīre meñ
ek na.ī kaḌī kā izāfa ban jaatā hai
aur phir vahī amal
phir vahī zanjīra
phir vahī kaḌī!
ek hi bistar par leTe hue
kabhi-kabhaar
do jismon ke darmiyan
chand shiknon ka fasla
sadiyon par phail jata hai
us lamhe ke paikar mein
baham paiwast do jismon se
paida hone wala
tisra badan
sari umr
firaq ki ghaDiyan ginte ginte
aaKHir isi zanjire mein
ek nai kaDi ka izafa ban jata hai
aur phir wahi amal
phir wahi zanjira
phir wahi kaDi!
- Book : Need Musafir (Pg. 126)
- Author : Hasan Abbas Raza
- Publication : Doost Publications, Islamabad (1996)
- Edition : 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.