tasalsul
mire bachche
tujhe achchhe se college meñ paḌhā.ūñgā
magar kuchh din
abhī gardish meñ haiñ mere sitāre
ye gardish tham chuke to maiñ
tujhe har chiiz lā dūñgā
kitābeñ aur qalam aur ḳhūbsūrat sā koī basta
tū khelegā bahut achchhe khilaunoñ se
tujhe har chiiz lā dūñgā
magar kuchh din
ki ye kuchh din kaḌe haiñ tere baabā par
mire bachche
tujhe āsā.isheñ dūñgā
vo sab āsā.isheñ jin se
mirā bachpan rahā ḳhālī
mere bachche
tujhe achchhe se college mein paDhaunga
magar kuchh din
abhi gardish mein hain mere sitare
ye gardish tham chuke to main
tujhe har chiz la dunga
kitaben aur qalam aur KHubsurat sa koi basta
tu khelega bahut achchhe khilaunon se
tujhe har chiz la dunga
magar kuchh din
ki ye kuchh din kaDe hain tere baba par
mere bachche
tujhe aasaishen dunga
wo sab aasaishen jin se
mera bachpan raha KHali
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 93)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.