tasawwuf
ham tasavvuf ke ḳharāboñ ke makīñ
vaqt ke tūl-e-alam-nāk ke parvārda haiñ,
ek tārīk azal nūr-e-abad se ḳhālī!
ham jo sadiyoñ se chale haiñ
to samajhte haiñ ki sāhil paayā
apnī din raat kī pā-kūbī kā hāsil paayā
ham tasavvuf ke nihāñ-ḳhānoñ meñ basne vaale
apnī pāmālī ke afsānoñ pe hañsne vaale
ham samajhte haiñ nishān-e-sar-e-manzil paayā
hum tasawwuf ke KHarabon ke makin
waqt ke tul-e-alam-nak ke parwarda hain,
ek tarik azal nur-e-abad se KHali!
hum jo sadiyon se chale hain
to samajhte hain ki sahil paya
apni din raat ki pa-kubi ka hasil paya
hum tasawwuf ke nihan-KHanon mein basne wale
apni pamali ke afsanon pe hansne wale
hum samajhte hain nishan-e-sar-e-manzil paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.