tasawwur
is shahr meñ shaam hote hī galiyoñ ke nukkaḌ par
saḌkoñ ke kināre zinda-dil log
āñkhoñ ke kaTore liye khaḌe ho jaate haiñ
aur shāḳh-e-gul kī tarah lachaktī mahaktī laḌkiyāñ
husn kī ḳhairāt bāñTtī phirtī haiñ
ḳhūb-sūrat tanau-mand bachche
phūloñ kī tarah muskurāte
ek haath meñ khilaune
ek haath meñ maañ kī uñglī pakḌe hañste-khelte guzarte haiñ
mai-kadoñ meñ riñd jaam par jaam luñDhāte haiñ
gharoñ meñ pakne vaale khānoñ kī ḳhushbū
ishtihā ko tez kartī hai
kitnā ḳhūb-sūrat kitnā jān-dār hai vo shahr jise merī band āñkhoñ ke alāva
kisī aur ne nahīñ dekhā
is shahr mein sham hote hi galiyon ke nukkaD par
saDkon ke kinare zinda-dil log
aankhon ke kaTore liye khaDe ho jate hain
aur shaKH-e-gul ki tarah lachakti mahakti laDkiyan
husn ki KHairaat banTti phirti hain
KHub-surat tanau-mand bachche
phulon ki tarah muskuraate
ek hath mein khilaune
ek hath mein man ki ungli pakDe hanste-khelte guzarte hain
mai-kadon mein rind jam par jam lunDhate hain
gharon mein pakne wale khanon ki KHushbu
ishtiha ko tez karti hai
kitna KHub-surat kitna jaan-dar hai wo shahr jise meri band aankhon ke alawa
kisi aur ne nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.