tasawwur
ye kis tarah yaad aa rahī ho ye ḳhvāb kaisā dikhā rahī ho
ki jaise sach-much nigāh ke sāmne khaḌī muskurā rahī ho
ye jism-e-nāzuk, ye narm bāheñ, hasīn gardan, siDaul baazū
shagufta chehra, salonī rañgat, ghanerā jūḌā, siyāh gesū
nashīlī āñkheñ, rasīlī chitvan, darāz palkeñ, mahīn abrū
tamām shoḳhī, tamām bijlī, tamām mastī, tamām jaadū
hazāroñ jaadū jagā rahī ho
ye ḳhvāb kaisā dikhā rahī ho
gulābī lab, muskurāte āriz, jabīñ kushāda, buland qāmat
nigāh meñ bijliyoñ kī jhil-mil, adāoñ meñ shabnamī latāfat
dhaḌaktā sīna, mahaktī sāñseñ, navā meñ ras, añkhḌiyoñ meñ amrit
hama halāvat, hama malāhat, hama tarannum, hama nazākat
lachak lachak gungunā rahī ho
ye ḳhvāb kaisā dikhā rahī ho
to kyā mujhe tum jalā hī logī gale se apne lagā hī logī
jo phuul juuḌe se gir paḌā hai taḌap ke us ko uThā hī logī
bhaḌakte sho.aloñ, kaḌaktī bijlī se merā ḳhirman bachā hī logī
ghanerī zulfoñ kī chhāñv meñ muskurā ke mujh ko chhupā hī logī
ki aaj tak aazmā rahī ho
ye ḳhvāb kaisā dikhā rahī ho
nahīñ mohabbat kī koī qīmat jo koī qīmat adā karogī
vafā kī fursat na degī duniyā hazār azm-e-vafā karogī
mujhe bahalne do ranj-o-ġham se sahāre kab tak diyā karogī
junūñ ko itnā na gudgudāo, pakaḌ luuñ dāman to kyā karogī
qarīb baḌhtī hī aa rahī ho
ye ḳhvāb kaisā dikhā rahī ho
ye kis tarah yaad aa rahi ho ye KHwab kaisa dikha rahi ho
ki jaise sach-much nigah ke samne khaDi muskura rahi ho
ye jism-e-nazuk, ye narm bahen, hasin gardan, siDaul bazu
shagufta chehra, saloni rangat, ghanera juDa, siyah gesu
nashili aankhen, rasili chitwan, daraaz palken, mahin abru
tamam shoKHi, tamam bijli, tamam masti, tamam jadu
hazaron jadu jaga rahi ho
ye KHwab kaisa dikha rahi ho
gulabi lab, muskuraate aariz, jabin kushada, buland qamat
nigah mein bijliyon ki jhil-mil, adaon mein shabnami latafat
dhaDakta sina, mahakti sansen, nawa mein ras, ankhDiyon mein amrit
hama halawat, hama malahat, hama tarannum, hama nazakat
lachak lachak gunguna rahi ho
ye KHwab kaisa dikha rahi ho
to kya mujhe tum jala hi logi gale se apne laga hi logi
jo phul juDe se gir paDa hai taDap ke us ko uTha hi logi
bhaDakte shoalon, kaDakti bijli se mera KHirman bacha hi logi
ghaneri zulfon ki chhanw mein muskura ke mujh ko chhupa hi logi
ki aaj tak aazma rahi ho
ye KHwab kaisa dikha rahi ho
nahin mohabbat ki koi qimat jo koi qimat ada karogi
wafa ki fursat na degi duniya hazar azm-e-wafa karogi
mujhe bahalne do ranj-o-gham se sahaare kab tak diya karogi
junun ko itna na gudgudao, pakaD lun daman to kya karogi
qarib baDhti hi aa rahi ho
ye KHwab kaisa dikha rahi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.