tashaddud
us kamre kī tartīb se
maiñ mānūs thā
us kī har shai se
patthar se dīvāroñ se
chhoTī chhoTī chīzoñ aur kitāboñ se
mutarannim āvāzoñ se
shor machāte hañste-gāte
gāhe-gāhe lamha-bhar ko
chup ho jaate
apne apne āsmāñ se
tanhā.ī meñ
sukh aur dukh kī bāteñ karte logoñ se
nannhī-munnī sargoshī meñ jaadū bhartī
guḌiyā se
rañg luTāte us ke naT-khaT guDDe se
tum to mere apne the
tum ne ye kyā kar Daalā
tum ne apne haath se
merī barsoñ kī mānūs lakīreñ
darham-barham kar Dāleñ
āvāzoñ kī rāgniyoñ kī tasvīroñ kī
raushan āñkheñ
tum to mere apne the
tum ne ye kyā kar Daalā
us kamre ki tartib se
main manus tha
us ki har shai se
patthar se diwaron se
chhoTi chhoTi chizon aur kitabon se
mutarannim aawazon se
shor machate hanste-gate
gahe-gahe lamha-bhar ko
chup ho jate
apne apne aasman se
tanhai mein
sukh aur dukh ki baaten karte logon se
nannhi-munni sargoshi mein jadu bharti
guDiya se
rang luTate us ke naT-khaT guDDe se
tum to mere apne the
tum ne ye kya kar Dala
tum ne apne hath se
meri barson ki manus lakiren
darham-barham kar Dalen
aawazon ki ragniyon ki taswiron ki
raushan aankhen
tum to mere apne the
tum ne ye kya kar Dala
- Book : Lambi Barish (Pg. 188)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.