tashakkur
ḳhabar-nāme kā saaz aur phone kī ghanTī
ikaTThe baj uThe the aur
jitnī der meñ maiñ phone tak pahuñchā
srī-lañkā meñ kashtī ke ulaTne se
taqrīban pāñch sau logoñ ko lahreñ khā chukī thiiñ
hello maiñ Thiik huuñ lekin
alī kā kuchh buḳhār utrā
alī alī to Thiik hai bilkul
ye mere sāmne baiThā
karam hai mere mālik kā ḳhudā kī mehrbānī hai
tashakkur kī usī saa.at ke andar
tiin sau lāsheñ samundar se nikālī jā chukī thiiñ
aur un meñ aksariyyat kam-sinoñ kī thī
KHabar-name ka saz aur phone ki ghanTi
ikaTThe baj uThe the aur
jitni der mein main phone tak pahuncha
sri-lanka mein kashti ke ulaTne se
taqriban panch sau logon ko lahren kha chuki thin
hello main Thik hun lekin
ali ka kuchh buKHar utra
ali ali to Thik hai bilkul
ye mere samne baiTha
karam hai mere malik ka KHuda ki mehrbani hai
tashakkur ki usi saat ke andar
tin sau lashen samundar se nikali ja chuki thin
aur un mein aksariyyat kam-sinon ki thi
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 125)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997)
- Edition : Vo.1 Issue2 Oct to Dec1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.