tashwish
mujh ko tashvīsh hai kuchh roz se mere mahbūb
mere andāz-e-tafakkur kī ye pur-ḳhār ravish
terī hassās tabī.at ko na kar de majrūh
aur tū samjhe ki nahīñ tujh meñ vo pahlī sī kashish
ab bhī jalvoñ meñ hai taḳhlīq-e-mohabbat kī sakat
tirī bātoñ meñ abhī tak hai fusūñ kā andāz
aariz o lab pe tabassum kā ḳhirām-e-mad.hosh
ab bhī detā hai taḳhayyul ko payām-e-parvāz
phir bhī ehsās-e-masarrat kā na ho zehn ko hosh
gin to saktā huuñ, shab-e-hijr meñ tāroñ ko magar
zehn āvāra ḳhayālāt se bhar jaatā hai
ashk-e-majbūr bahā.ūñ ġham-e-jānāñ meñ magar
silsila mere in ashkoñ kā bikhar jaatā hai
mujh ko tashvīsh hai kuchh roz se mere mahbūb
mire andāz-e-takallum kī ye begāna-ravī
terī hassās tabī.at ko na kar de majrūh
aur taskīñ na ho phir husn-e-ḳhud-ārā ko kabhī
mujh ko tashwish hai kuchh roz se mere mahbub
mere andaz-e-tafakkur ki ye pur-KHar rawish
teri hassas tabiat ko na kar de majruh
aur tu samjhe ki nahin tujh mein wo pahli si kashish
ab bhi jalwon mein hai taKHliq-e-mohabbat ki sakat
teri baaton mein abhi tak hai fusun ka andaz
aariz o lab pe tabassum ka KHiram-e-madhosh
ab bhi deta hai taKHayyul ko payam-e-parwaz
phir bhi ehsas-e-masarrat ka na ho zehn ko hosh
gin to sakta hun, shab-e-hijr mein taron ko magar
zehn aawara KHayalat se bhar jata hai
ashk-e-majbur bahaun gham-e-jaanan mein magar
silsila mere in ashkon ka bikhar jata hai
mujh ko tashwish hai kuchh roz se mere mahbub
mere andaz-e-takallum ki ye begana-rawi
teri hassas tabiat ko na kar de majruh
aur taskin na ho phir husn-e-KHud-ara ko kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.