tasKHir-e-fitrat ke baad
havā ai havā
maiñ tirā ek ek añg lahrā thā
sadiyoñ tire saath dasht-o-daman koh-o-sahrā meñ
āzād-o-sarshār phirtā rahā huuñ
samundar kī chhātī pe sadiyoñ tire saath
bad-mast o be-fikr chaltā rahā huuñ
anokhī zamīnoñ tilismī jazīroñ ko daryāft kartā rahā huuñ
mujhe tū ne fitrat ke ma.abad
sanam-ḳhāna-e-kā.enāt, āzarī ke tilismāt se aa ke bāhar nikālā
mire ḳhauf se kāñpte dil ko
vahmoñ se labrez auñdhe hue kāsa-e-sar ko
sajde se tū ne uThā kar
unheñ āgahī-o-amal kā nayā nuur baḳhshā
mujhe ḳhud se aur ḳhud ke bāhar mazāhir se
sadiyoñ ham-āhañg o ham-rutba honā sikhāyā
samundar ke dukh ko samajhne kī ḳhātir
ubalte hue garm pur-shor tūfāñ ko chullū se naapā hai maiñ ne
bayābāñ kī tanhā.ī ko duur karne kī ḳhātir
maiñ taptī hui ret par sadiyoñ piyāsā hī paidal chalā huuñ
badalte ho.e mausamoñ kā fusūñ Tohne ko shab-o-roz maiñ ne
bahār-o-ḳhizāñ meñ daraḳhtoñ ke sāyoñ se pattoñ kī sāñseñ ginī haiñ
zamāne kā har sard-o-garm āzmāne ko sadiyoñ hī tak maiñ
pahāḌoñ kī barfīlī choTī se
jvālā-mukhī ke dahāne se guzrā kiyā huuñ
aur is par bhī jab nā-tamāmī kā ehsās Dastā rahā
apnī takmīl karne kī ḳhātir
sitāroñ kī pur-nūr chaukhaT ko chūmā hai
dhartī ke tārīk ġhāroñ meñ ḳhud ko pukārā hai maiñ ne
ġharaz zindagī ke har ik dard se ḳhud ko añgez-o-dam-sāz kar ke
havā, ai havā
maiñ ki tujh se bichhaḌne se pahle
tirī tarah āzād o sarshār thā
ab ye kas tarah kī munhamik, TūTtī zindagī hai?
ki tū shahr shahr āgahī kī tag-o-tāz sahne ke qābil nahīñ
aur maiñ shahr shahr ek pathar sā aan path pe behis paḌā
ab tirī sust-paimā.ī aur apnī bechārgī kā
ye kis se gila kar rahā huuñ
hawa ai hawa
main tera ek ek ang lahra tha
sadiyon tere sath dasht-o-daman koh-o-sahra mein
aazad-o-sarshaar phirta raha hun
samundar ki chhati pe sadiyon tere sath
bad-mast o be-fikr chalta raha hun
anokhi zaminon tilismi jaziron ko daryaft karta raha hun
mujhe tu ne fitrat ke mabad
sanam-KHana-e-kaenat, aazari ke tilismat se aa ke bahar nikala
mere KHauf se kanpte dil ko
wahmon se labrez aundhe hue kasa-e-sar ko
sajde se tu ne uTha kar
unhen aagahi-o-amal ka naya nur baKHsha
mujhe KHud se aur KHud ke bahar mazahir se
sadiyon ham-ahang o ham-rutba hona sikhaya
samundar ke dukh ko samajhne ki KHatir
ubalte hue garm pur-shor tufan ko chullu se napa hai main ne
bayaban ki tanhai ko dur karne ki KHatir
main tapti hui ret par sadiyon piyasa hi paidal chala hun
badalte hoe mausamon ka fusun Tohne ko shab-o-roz main ne
bahaar-o-KHizan mein daraKHton ke sayon se patton ki sansen gini hain
zamane ka har sard-o-garm aazmane ko sadiyon hi tak main
pahaDon ki barfili choTi se
jwala-mukhi ke dahane se guzra kiya hun
aur is par bhi jab na-tamami ka ehsas Dasta raha
apni takmil karne ki KHatir
sitaron ki pur-nur chaukhaT ko chuma hai
dharti ke tarik ghaaron mein KHud ko pukara hai main ne
gharaz zindagi ke har ek dard se KHud ko angez-o-dam-saz kar ke
hawa, ai hawa
main ki tujh se bichhaDne se pahle
teri tarah aazad o sarshaar tha
ab ye kas tarah ki munhamik, TuTti zindagi hai?
ki tu shahr shahr aagahi ki tag-o-taz sahne ke qabil nahin
aur main shahr shahr ek pathar sa aan path pe behis paDa
ab teri sust-paimai aur apni bechaargi ka
ye kis se gila kar raha hun
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 194)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.