tasma-e-pa
kab se ye bār-e-garāñ
apne kāñdhoñ pe uThā.e hue tanhā tanhā
gasht kartā huuñ maiñ hairāñ hairāñ
maiñ ne har-chand chhuḌānā chāhā
aur mazbūt huī us kī gulū-gīr giraft
aur sañgīn huā jism-e-javāñ par pahra
sāmne fāsla-e-lāmatanāhī
dil meñ saikaḌoñ man chale armānoñ ke rañgīn charāġh
jin kī ḳhushbū se mo.attar hai dimāġh
jin se mumkin hai ki mil jaa.e mujhe
gum-shuda jannat kā surāġh
kab se kāñdhoñ pe uThā.e hue hairāñ hairāñ
vaqt kā bār-e-garāñ
sochtā huuñ ki agar
is ke pairoñ ke shikanje se nikal pā.ūñ maiñ
be-karāñ arsa-e-hastī meñ bikhar jā.ūñ maiñ
kab se ye bar-e-garan
apne kandhon pe uThae hue tanha tanha
gasht karta hun main hairan hairan
main ne har-chand chhuDana chaha
aur mazbut hui us ki gulu-gir giraft
aur sangin hua jism-e-jawan par pahra
samne fasla-e-lamatanahi
dil mein saikaDon man chale armanon ke rangin charagh
jin ki KHushbu se moattar hai dimagh
jin se mumkin hai ki mil jae mujhe
gum-shuda jannat ka suragh
kab se kandhon pe uThae hue hairan hairan
waqt ka bar-e-garan
sochta hun ki agar
is ke pairon ke shikanje se nikal paun main
be-karan arsa-e-hasti mein bikhar jaun main
- Book : Sarhane Ka Charagh (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.