taswir o tasawwur
vo kab ke aa.e bhī aur ga.e bhī nazar meñ ab tak samā rahe haiñ
ye chal rahe haiñ, vo phir rahe haiñ, ye aa rahe haiñ vo jā rahe haiñ
vahī qayāmat hai qadd-e-bālā vahī hai sūrat, vahī sarāpā
laboñ ko jumbish, nigah ko larzish, khaḌe haiñ aur muskurā rahe haiñ
vahī latāfat, vahī nazākat, vahī tabassum, vahī tarannum
maiñ naqsh-e-hirmāñ banā huā thā vo naqsh-e-hairat banā rahe haiñ
ḳhirām rañgīñ, nizām rañgīñ, kalām rañgīñ, payām rañgīñ
qadam qadam par, ravish ravish par na.e na.e gul khilā rahe haiñ
shabāb rañgīñ, jamāl rañgīñ, vo sar se pā tak tamām rañgīñ
tamām rañgīñ bane hue haiñ, tamām rañgīñ banā rahe haiñ
tamām ra.anā.iyoñ ke maz.har, tamām rañgīniyoñ ke manzar
sambhal sambhal kar simaT simaT kar sab ek markaz par aa rahe haiñ
bahār-e-rañg-o-shabāb hī kyā sitāra o māhtāb hī kyā
tamām hastī jhukī huī hai, jidhar vo nazreñ jhukā rahe haiñ
tuyūr sarshār-e-sāġhar-e-mul halāk-e-tanvīr-e-lāla-o-gul
sab apnī apnī dhunoñ meñ mil kar ajab ajab giit gā rahe haiñ
sharāb ā.ankhoñ se Dhal rahī hai, nazar se mastī ubal rahī hai
chhalak rahī hai uchhal rahī hai, piye hue haiñ pilā rahe haiñ
ḳhud apne nashshe meñ jhūmte haiñ, vo apnā muñh aap chūmte haiñ
ḳharāb-e-mastī bane hue haiñ, halāk-e-mastī banā rahe haiñ
fazā se nashsha baras rahā hai, dimāġh phūloñ meñ bas rahā hai
vo kaun hai jo taras rahā hai? sabhī ko mai-kash pilā rahe haiñ
zamīn nashsha, zamān nashsha, jahān nashsha, makān nashsha
makān kyaa? lā-makān nashsha, Dubo rahe haiñ pilā rahe haiñ
vo rū-e-rañgīñ o mauja-e-yam ki jaise dāmān-e-gul pe shabnam
ye garmī-e-husn kā hai ālam, araq araq meñ nahā rahe haiñ
ye mast bulbul bahak rahe haiñ, qarīb-e-āriz chahak rahe hai
guloñ kī chhātī dhaḌak rahī hai, vo dast-e-rañgīñ baḌhā rahe haiñ
ye mauj-o-dariyā, ye reg-o-sahrā ye ġhuncha-o-gul, ye māh-o-anjum
zarā jo vo muskurā diye haiñ vo sab ke sab muskurā rahe haiñ
fazā ye naġhmoñ se bhar ga.ī hai ki mauj-e-dariyā Thahar ga.ī hai
sukūt-e-naġhma banā huā hai, vo jaise kuchh gungunā rahe haiñ
ab aage jo kuchh bhī ho muqaddar, rahegā lekin ye naqsh dil par
ham un kā dāman pakaḌ rahe haiñ, vo apnā dāman chhuḌā rahe haiñ
ye ashk jo bah rahe haiñ paiham, agarche sab haiñ ye hāsil-e-ġham
magar ye ma.alūm ho rahā hai, ki ye bhī kuchh muskurā rahe haiñ
zarā jo dam bhar ko aañkh jhapkī, ye dekhtā huuñ na.ī tajallī
tilism sūrat miTā rahe haiñ, jamāl ma.anī banā rahe haiñ
ḳhushī se labrez shash-jihat hai, zabān par shor-e-tahniyat hai
ye vaqt vo hai 'jigar' ke dil ko vo apne dil se milā rahe haiñ
wo kab ke aae bhi aur gae bhi nazar mein ab tak sama rahe hain
ye chal rahe hain, wo phir rahe hain, ye aa rahe hain wo ja rahe hain
wahi qayamat hai qadd-e-baala wahi hai surat, wahi sarapa
labon ko jumbish, nigah ko larzish, khaDe hain aur muskura rahe hain
wahi latafat, wahi nazakat, wahi tabassum, wahi tarannum
main naqsh-e-hirman bana hua tha wo naqsh-e-hairat bana rahe hain
KHiram rangin, nizam rangin, kalam rangin, payam rangin
qadam qadam par, rawish rawish par nae nae gul khila rahe hain
shabab rangin, jamal rangin, wo sar se pa tak tamam rangin
tamam rangin bane hue hain, tamam rangin bana rahe hain
tamam ranaiyon ke mazhar, tamam ranginiyon ke manzar
sambhal sambhal kar simaT simaT kar sab ek markaz par aa rahe hain
bahaar-e-rang-o-shabab hi kya sitara o mahtab hi kya
tamam hasti jhuki hui hai, jidhar wo nazren jhuka rahe hain
tuyur sarshaar-e-saghar-e-mul halak-e-tanwir-e-lala-o-gul
sab apni apni dhunon mein mil kar ajab ajab git ga rahe hain
sharab aaankhon se Dhal rahi hai, nazar se masti ubal rahi hai
chhalak rahi hai uchhal rahi hai, piye hue hain pila rahe hain
KHud apne nashshe mein jhumte hain, wo apna munh aap chumte hain
KHarab-e-masti bane hue hain, halak-e-masti bana rahe hain
faza se nashsha baras raha hai, dimagh phulon mein bas raha hai
wo kaun hai jo taras raha hai? sabhi ko mai-kash pila rahe hain
zamin nashsha, zaman nashsha, jahan nashsha, makan nashsha
makan kya? la-makan nashsha, Dubo rahe hain pila rahe hain
wo ru-e-rangin o mauja-e-yam ki jaise daman-e-gul pe shabnam
ye garmi-e-husn ka hai aalam, araq araq mein naha rahe hain
ye mast bulbul bahak rahe hain, qarib-e-ariz chahak rahe hai
gulon ki chhati dhaDak rahi hai, wo dast-e-rangin baDha rahe hain
ye mauj-o-dariya, ye reg-o-sahra ye ghuncha-o-gul, ye mah-o-anjum
zara jo wo muskura diye hain wo sab ke sab muskura rahe hain
faza ye naghmon se bhar gai hai ki mauj-e-dariya Thahar gai hai
sukut-e-naghma bana hua hai, wo jaise kuchh gunguna rahe hain
ab aage jo kuchh bhi ho muqaddar, rahega lekin ye naqsh dil par
hum un ka daman pakaD rahe hain, wo apna daman chhuDa rahe hain
ye ashk jo bah rahe hain paiham, agarche sab hain ye hasil-e-gham
magar ye malum ho raha hai, ki ye bhi kuchh muskura rahe hain
zara jo dam bhar ko aankh jhapki, ye dekhta hun nai tajalli
tilism surat miTa rahe hain, jamal mani bana rahe hain
KHushi se labrez shash-jihat hai, zaban par shor-e-tahniyat hai
ye waqt wo hai 'jigar' ke dil ko wo apne dil se mila rahe hain
- Book : Kulliyat-e-jigar (Pg. 413)
- Author : Jigar Muradabadi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.