tawaif
apnī fitrat kī bulandī pe mujhe naaz hai kab
haañ tirī past-nigāhī se gila hai mujh ko
tū girā degī mujhe apnī nazar se varna
tere qadmoñ pe to sajda bhī ravā hai mujh ko
tū ne har aan badaltī huī is duniyā meñ
merī pā.indagi-e-ġham ko to dekhā hotā
kaliyāñ be-zār haiñ shabnam ke talavvun se magar
tū ne is dīda-e-pur-nam ko to dekhā hotā
haa.e jaltī huī hasrat ye tirī āñkhoñ meñ
kahīñ mil jaa.e mohabbat kā sahārā tujh ko
apnī pastī kā bhī ehsās phir itnā ehsās
ki nahīñ merī mohabbat bhī gavārā tujh ko
aur ye zard se ruḳhsār ye ashkoñ kī qatār
mujh se be-zār mirī arz-e-vafā se be-zār
apni fitrat ki bulandi pe mujhe naz hai kab
han teri past-nigahi se gila hai mujh ko
tu gira degi mujhe apni nazar se warna
tere qadmon pe to sajda bhi rawa hai mujh ko
tu ne har aan badalti hui is duniya mein
meri paindagi-e-gham ko to dekha hota
kaliyan be-zar hain shabnam ke talawwun se magar
tu ne is dida-e-pur-nam ko to dekha hota
hae jalti hui hasrat ye teri aankhon mein
kahin mil jae mohabbat ka sahaara tujh ko
apni pasti ka bhi ehsas phir itna ehsas
ki nahin meri mohabbat bhi gawara tujh ko
aur ye zard se ruKHsar ye ashkon ki qatar
mujh se be-zar meri arz-e-wafa se be-zar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.