tawana KHubsurat jism
a.azā kā tanāsub
ragoñ meñ dauḌte zinda javāñ sarshār ḳhuuñ kī gungunāhaT
hameñ dete haiñ dāvat ishq kī
lekin
hamārī chashm-e-āhan-posh pairāhan-shanāsā hai
libāsoñ kī mohabbat
vaz-e-pairāhan ko sab kuchh maan kar
nā-bīnā āñkheñ ishq kartī haiñ
hamārī zindagī tahzīb-e-pairāhan hai
zāhir kī parastish hai
hamāre saare ādāb-e-nazārā farz kar lete haiñ
insāñ be-badan hai
badan dar-asl insāñ hai tamaddun hai mohabbat hai
badan hī ruuh hai nūr-e-harārat zindagī hai
badan hī kā karishma zehn kī taḳhlīq tasḳhīr-e-fulāñ hai
hamārī chashm-e-āhan-posh pairāhan shanāsā hai
badan kī taab lā saktī nahīñ
tahzīb-e-pairāhan na zinda hai na zehn-o-rūh rakhtī hai
hamāre būḌhe kohna aur farsūda libāsoñ se ibārat haiñ
hamāre naujavāñ maġhrib ke taaza faishanoñ ke chalte phirte ishtihārī haiñ
badan ma.adūm hai
aur be-badan rūheñ dhuāñ haiñ
be-badan az.hān āseb-e-nazāra haiñ
aaza ka tanasub
ragon mein dauDte zinda jawan sarshaar KHun ki gungunahaT
hamein dete hain dawat ishq ki
lekin
hamari chashm-e-ahan-posh pairahan-shanasa hai
libason ki mohabbat
waz-e-pairahan ko sab kuchh man kar
na-bina aankhen ishq karti hain
hamari zindagi tahzib-e-pairahan hai
zahir ki parastish hai
hamare sare aadab-e-nazara farz kar lete hain
insan be-badan hai
badan dar-asl insan hai tamaddun hai mohabbat hai
badan hi ruh hai nur-e-hararat zindagi hai
badan hi ka karishma zehn ki taKHliq tasKHir-e-fulan hai
hamari chashm-e-ahan-posh pairahan shanasa hai
badan ki tab la sakti nahin
tahzib-e-pairahan na zinda hai na zehn-o-ruh rakhti hai
hamare buDhe kohna aur farsuda libason se ibarat hain
hamare naujawan maghrib ke taza faishanon ke chalte phirte ishtihaari hain
badan madum hai
aur be-badan ruhen dhuan hain
be-badan azhan aaseb-e-nazara hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.