tawajjoh farmaiye
hameñ pal do pal bahlā denā
kyā mushkil hai
do-chār khilaune lā denā
kyā mushkil hai
ham ne jo ye baat abbū se kahī
abbū ne kahā ammī se kaho
ham ne jo ye baat ammī se kahī
ammī ne kahā baajī se kaho
khaT se do note baḌhā denā
kyā mushkil hai
almārī bhī banvā.ī hai
itnī baḌī mez bhī aa.ī hai
loket qālīn ghaḌī bunde
har qīmtī chiiz mañgā.ī hai
kuchh ham ko bhī mañgvā denā
kyā mushkil hai
ik hāthī kānoñ vaalā hai
ik bhālū kaalā kaalā hai
ik train ik engine ik motor
ik sher ik sher kī ḳhāla hai
kamre meñ unheñ bikhrā denā
kyā mushkil hai
hamein pal do pal bahla dena
kya mushkil hai
do-chaar khilaune la dena
kya mushkil hai
hum ne jo ye baat abbu se kahi
abbu ne kaha ammi se kaho
hum ne jo ye baat ammi se kahi
ammi ne kaha baji se kaho
khaT se do note baDha dena
kya mushkil hai
almari bhi banwai hai
itni baDi mez bhi aai hai
loket qalin ghaDi bunde
har qimti chiz mangai hai
kuchh hum ko bhi mangwa dena
kya mushkil hai
ek hathi kanon wala hai
ek bhaalu kala kala hai
ek train ek engine ek motor
ek sher ek sher ki KHala hai
kamre mein unhen bikhra dena
kya mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.