tazad ki kasht
maiñ ne ka.ī rañg ke saa.e sūñghe haiñ
magar dīvāroñ par kanda kiye phūloñ meñ
kabhī ḳhushbū nahīñ mahkī
mohabbat ruuh meñ tab utartī hai
jab ġhamoñ kī ret aur āñsuoñ se
ham apne andar shikastagī tāmīr karte haiñ
jis qadar bhī hañs lo
najāt kā koī rāsta nahīñ
tum mohabbat ke gunahgār ho
sau ġham tumhārī haDDiyoñ meñ phailā huā hai
apne amiiq tajrabe se batāo
ek mohabbat māpne ke liye
hameñ dūsrī mohabbat kyuuñ talāshnā paḌtī hai
maiñ jamā ho kar kam paḌ gayā huuñ
kahīñ aisā to nahīñ
irtiqā kī jald-bāzī meñ
maiñ ne do nafī joḌ liye haiñ
main ne kai rang ke sae sunghe hain
magar diwaron par kanda kiye phulon mein
kabhi KHushbu nahin mahki
mohabbat ruh mein tab utarti hai
jab ghamon ki ret aur aansuon se
hum apne andar shikastagi tamir karte hain
jis qadar bhi hans lo
najat ka koi rasta nahin
tum mohabbat ke gunahgar ho
sau gham tumhaari haDDiyon mein phaila hua hai
apne amiq tajrabe se batao
ek mohabbat mapne ke liye
hamein dusri mohabbat kyun talashna paDti hai
main jama ho kar kam paD gaya hun
kahin aisa to nahin
irtiqa ki jald-bazi mein
main ne do nafi joD liye hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.