tazad-o-maslahat
kahīñ ik bhuul se jannat nikal jaatī hai qadmoñ se
kahīñ us ko bhulāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ aañsū bahāne se basārat lauT aatī hai
kahīñ ghar ko luTāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ dariyā kī maujeñ faisla kartī haiñ zālim kā
kahīñ dariyā pe jaane se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ ye ḳhū-e-ḳhūñ-rezī aqīdoñ ko badaltī hai
kahīñ murde jalāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ eḌī ragaḌne se zamīñ chashme ugaltī hai
kahīñ gardan kaTāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ sahrāoñ kī banjar zamīñ sonā ugaltī hai
kahīñ gandum ugāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ do uñgliyoñ se faisla hotā hai ḳhaibar kā
kahīñ baazū kaTāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ chullū meñ ġhāzī kī hukmarāñ Duub jaate haiñ
kahīñ hākim banāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ zor-e-suḳhan qaumoñ kī taqdīreñ badaltā hai
kahīñ faujeñ bulāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ ḳhāmoshiyāñ bhī jiit letī haiñ mahāzoñ ko
kahīñ topeñ chalāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ ġham tā-qayāmat dost kar detā hai apnoñ ko
kahīñ ḳhushiyāñ luTāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ apne suḳhan se ik bahan dil jiit letī hai
kahīñ ḳhanjar chalāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahīñ tanhā.iyāñ rutbe atā kartī haiñ insāñ ko
kahīñ mahfil sajāne se bhī sāhab kuchh nahīñ hotā
kahin ek bhul se jannat nikal jati hai qadmon se
kahin us ko bhulane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin aansu bahane se basarat lauT aati hai
kahin ghar ko luTane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin dariya ki maujen faisla karti hain zalim ka
kahin dariya pe jaane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin ye KHu-e-KHun-rezi aqidon ko badalti hai
kahin murde jalane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin eDi ragaDne se zamin chashme ugalti hai
kahin gardan kaTane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin sahraon ki banjar zamin sona ugalti hai
kahin gandum ugane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin do ungliyon se faisla hota hai KHaibar ka
kahin bazu kaTane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin chullu mein ghazi ki hukmaran Dub jate hain
kahin hakim banane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin zor-e-suKHan qaumon ki taqdiren badalta hai
kahin faujen bulane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin KHamoshiyan bhi jit leti hain mahazon ko
kahin topen chalane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin gham ta-qayamat dost kar deta hai apnon ko
kahin KHushiyan luTane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin apne suKHan se ek bahan dil jit leti hai
kahin KHanjar chalane se bhi sahab kuchh nahin hota
kahin tanhaiyan rutbe ata karti hain insan ko
kahin mahfil sajaane se bhi sahab kuchh nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.