tazad
shāh-rāhoñ par ujāle hī sahī
tang galiyoñ meñ to haiñ tārīkiyāñ
hamhama kaisā hī bāzāroñ meñ ho
haiñ gharoñ meñ ḳhema-zan ḳhāmoshiyāñ
mahfiloñ par hai bahar-sūrat shabāb
ḳhalvatoñ kī har adā be-jān hai
ijtimā’ī raunaqeñ haiñ auj par
infirādī zindagī vīrān hai
shah-rahon par ujale hi sahi
tang galiyon mein to hain tarikiyan
hamhama kaisa hi bazaron mein ho
hain gharon mein KHema-zan KHamoshiyan
mahfilon par hai bahar-surat shabab
KHalwaton ki har ada be-jaan hai
ijtima’i raunaqen hain auj par
infiradi zindagi viran hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.