tazad
yazīd naqsha-e-jaur-o-jafā banātā hai
husain us meñ ḳhat-e-karbalā banātā hai
yazīd mausam-e-isyāñ kā lā-'ilāj maraz
husain ḳhaak se ḳhāk-e-shifā banātā hai
yazīd kāḳh-e-kasāfat kī Doltī buniyād
husain husn kī hairat-sarā banātā hai
yazīd tez havāoñ se joḌ toḌ meñ gum
husain sar pe bahan ke ridā banātā hai
yazīd likhtā hai tārīkiyoñ ko ḳhat din bhar
husain shaam se pahle diyā banātā hai
yazīd aaj bhī bante haiñ log koshish se
husain ḳhud nahīñ bantā ḳhudā banātā hai
yazid naqsha-e-jaur-o-jafa banata hai
husain us mein KHat-e-karbala banata hai
yazid mausam-e-isyan ka la-'ilaj maraz
husain KHak se KHak-e-shifa banata hai
yazid kaKH-e-kasafat ki Dolti buniyaad
husain husn ki hairat-sara banata hai
yazid tez hawaon se joD toD mein gum
husain sar pe bahan ke rida banata hai
yazid likhta hai tarikiyon ko KHat din bhar
husain sham se pahle diya banata hai
yazid aaj bhi bante hain log koshish se
husain KHud nahin banta KHuda banata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.