tazabzub
raat din ek ḳhalish rahtī hai siine meñ mire
har ghaḌī dard sā rah-rah ke uThā kartā hai
ek ujḌā huā maazī hai mirā sarmāya
ek gumnām jhijaktā huā mustaqbil hai
biich meñ maiñ huuñ pareshān sā yuuñ istāda
koī sāthī na sahārā na koī manzil hai
koī tinkā na safīna na koī sāhil hai
kis taraf jā.ūñ pukārūñ kise ai vahshat-e-dil
tū ne kyā khoyā hai kyā paayā hai kyā sochā hai
raat din ek KHalish rahti hai sine mein mere
har ghaDi dard sa rah-rah ke uTha karta hai
ek ujDa hua mazi hai mera sarmaya
ek gumnam jhijakta hua mustaqbil hai
bich mein main hun pareshan sa yun istada
koi sathi na sahaara na koi manzil hai
koi tinka na safina na koi sahil hai
kis taraf jaun pukarun kise ai wahshat-e-dil
tu ne kya khoya hai kya paya hai kya socha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.