tazmin bar-ashaar-e-ghaalib
dard-e-ulfat yūñhī thā rag rag meñ saarī haa.e haa.e
kyuuñ lagāyā phir vafā kā zaḳhm-e-kārī haa.e haa.e
tujh sā be-fikr aur kisī kī ġham-gusārī haa.e haa.e
dard se mere ho tujh ko be-qarārī haa.e haa.e
kyā huī zālim tirī ġhaflat shi.ārī? haa.e haa.e
kuchh hañsī thā shirkat rañj-o-alam kā hausla
aah ye ek ḳhūgar nāz-o-ni.am kā hausla
kyuuñ kiyā be-quvvat-e-dil is sitam kā hausla
tere dil meñ gar na thā āshob-e-ġham kā hausla
tū ne phir kyuuñ kī thī merī ġham-gusārī haa.e haa.e
thā mirā ġham-ḳhvār ban kar phūlnā phalnā muhāl
kaT gayā āḳhir na terā naḳhl-e-umr ai naunihāl
aah nādāñ kyuuñ na sochā merī ulfat kā ma.aal
kyuuñ mirī ġham-ḳhvārgī kā tujh ko aayā thā ḳhayāl
dushmanī apnī thī merī dost-dārī haa.e haa.e
jiite jī ham tum rahe gar yak-dil-o-yakjā to kyā
tā-dam-e-āḳhir bharā gar dam mohabbat kā to kyā
umr bhar paimāñ rahā minnat-kash iifā to kyā
umr bhar kā tū ne paimān-e-vafā bāñdhā to kyā
umr ko bhī to nahīñ hai pā.edārī haa.e haa.e
chhoḌ kar zindāñ meñ mujh ko tū ne rāh-e-ḳhuld lī
tere zaḳhm-e-nāvak-e-furqat se maiñ jiitī bachī
ho chukī bas e'timād-e-dil kī sheḳhī kirkirī
ḳhaak meñ nāmūs-e-paimān-e-mohabbat mil ga.ī
uTh ga.ī duniyā se rāh-rau rasm yaarī haa.e haa.e
vā dareġhā thā dil-e-bīmār-e-ġham ko aasrā
āb-e-teġh-e-nāz se ik din mujhe hogī shifā
hasrat ai shauq-e-jarāhat! ruḳhsat ai zauq-e-fanā
haath hī teġh-āzmā kā kaam se jaatā rahā
dil pe ik lagne na paayā zaḳhm-e-kārī haa.e haa.e
ġham hare kartī hai fasl-e-ashk-bār-e-barshgāl
misl-e-qismat taar haiñ lail-o-nahār-e-barshgāl
kab khulegā haa.e ye ab sāya-dār-e-barshgāl
kaise kāTūñ haa.e maiñ shab-hā-e-tār-e-barshigāl
hai nazar ḳhū-karda-e-aḳhtar-shumārī haa.e haa.e
ek din vo bhī thā jab dam bhar kī furqat thī muhāl
aah ik din ye bhī hai jab rūnumā hai infi.āl
ye alam kab tak sahūñ kab tak na ho jiinā vabāl
gosh mahjūr-e-payām o chashm mahrūm-e-jamāl
ek dil tis par ye nā ummīd-vārī haa.e haa.e
dard-e-ulfat yunhi tha rag rag mein sari hae hae
kyun lagaya phir wafa ka zaKHm-e-kari hae hae
tujh sa be-fikr aur kisi ki gham-gusari hae hae
dard se mere ho tujh ko be-qarari hae hae
kya hui zalim teri ghaflat shiari? hae hae
kuchh hansi tha shirkat ranj-o-alam ka hausla
aah ye ek KHugar naz-o-niam ka hausla
kyun kiya be-quwwat-e-dil is sitam ka hausla
tere dil mein gar na tha aashob-e-gham ka hausla
tu ne phir kyun ki thi meri gham-gusari hae hae
tha mera gham-KHwar ban kar phulna phalna muhaal
kaT gaya aaKHir na tera naKHl-e-umr ai naunihaal
aah nadan kyun na socha meri ulfat ka maal
kyun meri gham-KHwargi ka tujh ko aaya tha KHayal
dushmani apni thi meri dost-dari hae hae
jite ji hum tum rahe gar yak-dil-o-yakja to kya
ta-dam-e-aKHir bhara gar dam mohabbat ka to kya
umr bhar paiman raha minnat-kash ifa to kya
umr bhar ka tu ne paiman-e-wafa bandha to kya
umr ko bhi to nahin hai paedari hae hae
chhoD kar zindan mein mujh ko tu ne rah-e-KHuld li
tere zaKHm-e-nawak-e-furqat se main jiti bachi
ho chuki bas e'timad-e-dil ki sheKHi kirkiri
KHak mein namus-e-paiman-e-mohabbat mil gai
uTh gai duniya se rah-rau rasm yari hae hae
wa daregha tha dil-e-bimar-e-gham ko aasra
aab-e-tegh-e-naz se ek din mujhe hogi shifa
hasrat ai shauq-e-jarahat! ruKHsat ai zauq-e-fana
hath hi tegh-azma ka kaam se jata raha
dil pe ek lagne na paya zaKHm-e-kari hae hae
gham hare karti hai fasl-e-ashk-bar-e-barshgal
misl-e-qismat tar hain lail-o-nahaar-e-barshgal
kab khulega hae ye ab saya-dar-e-barshgal
kaise kaTun hae main shab-ha-e-tar-e-barshigal
hai nazar KHu-karda-e-aKHtar-shumari hae hae
ek din wo bhi tha jab dam bhar ki furqat thi muhaal
aah ek din ye bhi hai jab runuma hai infial
ye alam kab tak sahun kab tak na ho jina wabaal
gosh mahjur-e-payam o chashm mahrum-e-jamal
ek dil tis par ye na ummid-wari hae hae
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 938)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.