tazmin
ġham tumhārā thā zindagī goyā
tum ko khoyā use nahīñ khoyā
fart-e-girya se jī na halkā ho
bas yahī soch kar nahīñ royā
ashk to ashk haiñ sharāb se bhī
maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā
maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ
jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā
aabla aabla thī jaañ phir bhī
bār-e-hastī ko umr bhar Dhoyā
dīda-o-dil gavāh haiñ jānāñ
sukh se jaagā na chain se soyā
dūsrā koī saath ho ki na ho
tum mire paas hote ho goyā
gham tumhaara tha zindagi goya
tum ko khoya use nahin khoya
fart-e-girya se ji na halka ho
bas yahi soch kar nahin roya
ashk to ashk hain sharab se bhi
main ne ye dagh-e-dil nahin dhoya
main wo kisht-e-nashat kyon kaTun
jis ko main ne kabhi nahin boya
aabla aabla thi jaan phir bhi
bar-e-hasti ko umr bhar Dhoya
dida-o-dil gawah hain jaanan
sukh se jaga na chain se soya
dusra koi sath ho ki na ho
tum mere pas hote ho goya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.