tel ke saudagar
buḳhārā samarqand ik ḳhāl-e-hindū ke badle!
bajā hai buḳhārā samarqand baaqī kahāñ haiñ?
buḳhārā samarqand nīndoñ meñ mad.hosh
ik nīl-gūñ ḳhāmushī ke hijāboñ meñ mastūr
aur rahravoñ ke liye un ke dar band
soī huī mah-jabīnoñ kī palkoñ ke mānind
ruusī ''hama-ūst'' ke tāziyānoñ se ma.azūr
do mah-jabīneñ!
buḳhārā samarqand ko bhuul jaao
ab apne daraḳhshanda shahroñ kī
tahrān o mash.had ke saqf o dar-o-bām kī fikr kar lo
tum apne na.e daur-e-hosh-o-amal ke dil-āvez chashmoñ ko
apnī na.ī ārzūoñ ke in ḳhūb-sūrat kināyoñ ko
mahfūz kar lo!
in ūñche daraḳhshanda shahroñ kī
kotah fasīloñ ko mazbūt kar lo
har ik burj-o-bāro par apne nigahbāñ chaḌhā do
gharoñ meñ havā ke sivā
sab sadāoñ kī sham.eñ bujhā do!
ki bāhar fasīloñ ke nīche
ka.ī din se rahzan haiñ ḳhema-fagan
tel ke būḌhe sauda-garoñ ke libāde pahan kar
vo kal raat yā aaj kī raat kī tīrgī meñ
chale ā.eñge ban ke mehmāñ
tumhāre gharoñ meñ
vo dāvat kī shab jām-o-mīnā luḌhā.eñge
nācheñge gā.eñge
be-sāḳhta qahqahoñ hamhamoñ se
vo garmā.eñgē ḳhūn-e-mahfil!
Oil Merchants
magar pau phaTegī
to palkoñ se khodoge ḳhud apne murdoñ kī qabreñ
bisāt-e-ziyāfat kī ḳhākistar-e-soḳhta ke kināre
bahāoge āñsū!
bahā.e haiñ ham ne bhī āñsū!
go ab ḳhāl-e-hindū kī arzish nahīñ hai
ezār-e-jahāñ par vo ristā huā gahrā nāsūr
afrañg kī āz-e-ḳhūñ-ḳhvār se ban chukā hai
bahā.e haiñ ham nai bhī aañsū
hamārī nigāhoñ ne dekhe haiñ
sayyāl sāyoñ ke mānind ghulte hue shahr
girte hue bām-o-dar
aur mīnār o gumbad
magar vaqt mīnār hai
aur dushman ab us kī ḳhamīda kamar se guzartā huā
us ke nichle ufaq par luḌhaktā chalā jā rahā hai
hamāre barahna o kāhīda jismoñ ne
vo qaid-o-band aur vo tāziyāne sahe haiñ
ki un se hamārā sitamgar
ḳhud apne alaav meñ jalne lagā hai!
For one black mole the towns of Buqara and Samarqand!
But where now are Buqara and Samarqand?
Buqara and Samarqand are lost in dreams
Hidden in the veils of an azure silence
Their doors closed to travellers
mire haath meñ haath de do!
mire haath meñ haath de do!
ki dekhī haiñ meñ ne
himāla o alvand kī choTiyoñ par shuā.eñ
unhīñ se vo ḳhurshīd phūTegā āḳhir
buḳhārā samarqand bhī sāl-hā-sāl se
jis kī hasrat ke daryūza-gar haiñ!
Like the eyelids of a beautiful sleeping woman
Preserved from the lash of Russian ‘Pantheism'
Two beauties!
Forget Buqara and Samarqand
And think now of your shining cities lol
Of the roofs, doors and terraces of
Tehran and Masshad
Look to the
Pleasant fountains of your age of sense and action
And these beautiful metaphors of your new hopes
Make high the low walls
Of these splendid cities
Post your sentries at every tower and rampart
And in your homes, silence all sound?
Save the wind
For outside, beneath the city walls
Robbers have long been pitching their tents i den
Dressed as oil-merchants
Tomorrow or tonight at dark
They'll come as guests
To your houses
To drink from the goblets
Of the banquet night
They'll dance, sing
And laugh impulsively, noisily
To warm the blood of the gathering!
But when dawn breaks
Then you will dig
Graves for your dead with your eyelashes
Then you'll shed tears
On the ashes of merriment’s' stage
We also have shed tears
-Though the black mole is worthless sait of boxit
That deep oozing ulcer which arose on earth's cheek lite
From Europeans' murdering lust-sobne sidlo zo
We also have shed tears
Cities, like liquid shadows, dissolving in waste
Falling roofs and doors
Minarets and domes
But time is an arch
And our enemy passes through its curved flanks won
Rolling down its lower horizon
Imprisoning and whipping
Our naked, lean bodies
Our tyrant begins to
Sweat in his own fire
buKHara samarqand ek KHal-e-hindu ke badle!
baja hai buKHara samarqand baqi kahan hain?
buKHara samarqand nindon mein madhosh
ek nil-gun KHamushi ke hijabon mein mastur
aur rahrawon ke liye un ke dar band
soi hui mah-jabinon ki palkon ke manind
rusi hama-ust ke taziyanon se mazur
do mah-jabinen!
buKHara samarqand ko bhul jao
ab apne daraKHshanda shahron ki
tahran o mashhad ke saqf o dar-o-baam ki fikr kar lo
tum apne nae daur-e-hosh-o-amal ke dil-awez chashmon ko
apni nai aarzuon ke in KHub-surat kinayon ko
mahfuz kar lo!
in unche daraKHshanda shahron ki
kotah fasilon ko mazbut kar lo
har ek burj-o-baro par apne nigahban chaDha do
gharon mein hawa ke siwa
sab sadaon ki shamen bujha do!
ki bahar fasilon ke niche
kai din se rahzan hain KHema-fagan
tel ke buDhe sauda-garon ke libaade pahan kar
wo kal raat ya aaj ki raat ki tirgi mein
chale aaenge ban ke mehman
tumhaare gharon mein
wo dawat ki shab jam-o-mina luDhaenge
nachenge gaenge
be-saKHta qahqahon hamhamon se
wo garmaengee KHun-e-mahfil!
Oil Merchants
magar pau phaTegi
to palkon se khodoge KHud apne murdon ki qabren
bisat-e-ziyafat ki KHakistar-e-soKHta ke kinare
bahaoge aansu!
bahae hain hum ne bhi aansu!
go ab KHal-e-hindu ki arzish nahin hai
ezar-e-jahan par wo rista hua gahra nasur
afrang ki aaz-e-KHun-KHwar se ban chuka hai
bahae hain hum nai bhi aansu
hamari nigahon ne dekhe hain
sayyal sayon ke manind ghulte hue shahr
girte hue baam-o-dar
aur minar o gumbad
magar waqt minar hai
aur dushman ab us ki KHamida kamar se guzarta hua
us ke nichle ufaq par luDhakta chala ja raha hai
hamare barahna o kahida jismon ne
wo qaid-o-band aur wo taziyane sahe hain
ki un se hamara sitamgar
KHud apne alaw mein jalne laga hai!
For one black mole the towns of Buqara and Samarqand!
But where now are Buqara and Samarqand?
Buqara and Samarqand are lost in dreams
Hidden in the veils of an azure silence
Their doors closed to travellers
mere hath mein hath de do!
mere hath mein hath de do!
ki dekhi hain mein ne
himala o alwand ki choTiyon par shuaen
unhin se wo KHurshid phuTega aaKHir
buKHara samarqand bhi sal-ha-sal se
jis ki hasrat ke daryuza-gar hain!
Like the eyelids of a beautiful sleeping woman
Preserved from the lash of Russian ‘Pantheism'
Two beauties!
Forget Buqara and Samarqand
And think now of your shining cities lol
Of the roofs, doors and terraces of
Tehran and Masshad
Look to the
Pleasant fountains of your age of sense and action
And these beautiful metaphors of your new hopes
Make high the low walls
Of these splendid cities
Post your sentries at every tower and rampart
And in your homes, silence all sound?
Save the wind
For outside, beneath the city walls
Robbers have long been pitching their tents i den
Dressed as oil-merchants
Tomorrow or tonight at dark
They'll come as guests
To your houses
To drink from the goblets
Of the banquet night
They'll dance, sing
And laugh impulsively, noisily
To warm the blood of the gathering!
But when dawn breaks
Then you will dig
Graves for your dead with your eyelashes
Then you'll shed tears
On the ashes of merriment’s' stage
We also have shed tears
-Though the black mole is worthless sait of boxit
That deep oozing ulcer which arose on earth's cheek lite
From Europeans' murdering lust-sobne sidlo zo
We also have shed tears
Cities, like liquid shadows, dissolving in waste
Falling roofs and doors
Minarets and domes
But time is an arch
And our enemy passes through its curved flanks won
Rolling down its lower horizon
Imprisoning and whipping
Our naked, lean bodies
Our tyrant begins to
Sweat in his own fire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.