telewision
television ahd-e-hāzir kā ik aflātūn hai
lag gayā hai jo hamāre muñh ko ye vo ḳhuun hai
is tarah television kā har drama ho gayā
jaise lāzim shervānī par pajāma ho gayā
ishtihār is tarah lāzim hai ḳhabar-nāme ke ba.ad
jaise ful-stop kī maujūdgī comme ke ba.ad
ik Darāma nashr hotā hai jo aadhī raat meñ
vo bahut maqbūl hai is ahd ke jinnāt meñ
jis jagah Time bachā thoḌā sā gaanā de diyā
raat ke bāra-baje qaumī tarāna de diyā
mahfil-e-she.arī ko aadhī raat meñ bhugtā diyā
bhairvīñ kā raag paune-nau-baje chipkā diyā
aaj phir fannī ḳharābī ho ga.ī do-chār baar
intizār o intizār o intizār o intizār
television ho gayā sañgīn biivī kī tarah
aur biivī ho ga.ī rañgīn T.V kī tarah
telewision ahd-e-hazir ka ek aflatun hai
lag gaya hai jo hamare munh ko ye wo KHun hai
is tarah telewision ka har drama ho gaya
jaise lazim sherwani par pajama ho gaya
ishtihaar is tarah lazim hai KHabar-name ke baad
jaise ful-stop ki maujudgi comme ke baad
ek Darama nashr hota hai jo aadhi raat mein
wo bahut maqbul hai is ahd ke jinnat mein
jis jagah Time bacha thoDa sa gana de diya
raat ke bara-baje qaumi tarana de diya
mahfil-e-sheari ko aadhi raat mein bhugta diya
bhairwin ka rag paune-nau-baje chipka diya
aaj phir fanni KHarabi ho gai do-chaar bar
intizar o intizar o intizar o intizar
telewision ho gaya sangin biwi ki tarah
aur biwi ho gai rangin TV ki tarah
- Book : No Problem (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.