terā aur merā saath ālam-e-barzaḳh se hai
ālam-e-barzaḳh ya.anī jahāñ arvāh ik saath thiiñ
maiñ aur tum ya.anī ham
vahāñ bhī ik saath the
phir mujhe aur tumheñ ik saath
shāyad tah-dar-tah ik saath sulā diyā gayā
yahāñ hamāre liye maañ kī kokh ko garm kiyā gayā
vahāñ maiñ aur yahāñ tum ne ik hayūle kī shakl lī
farz karo chālīs din kā ik hafta ho aur tiin haftoñ meñ
hamārā ya.anī tumhārā aur merā nuur ik nuur ne us hayūle meñ phūñk diyā
tum pūchhtī ho kab se mohabbat hai
tum sochtī ho kab se āshnā haiñ
jānāñ
ham duniyā kī daryāft se pahle āshnā haiñ
hamārī arvāh ne daryāft se pahle mohabbat kī thī
jism to ab mayassar haiñ
magar
ham kā.enāt ke vajūd se pahle mil chuke haiñ
tera aur mera sath aalam-e-barzaKH se hai
aalam-e-barzaKH yani jahan arwah ek sath thin
main aur tum yani hum
wahan bhi ek sath the
phir mujhe aur tumhein ek sath
shayad tah-dar-tah ek sath sula diya gaya
yahan hamare liye man ki kokh ko garm kiya gaya
wahan main aur yahan tum ne ek hayule ki shakl li
farz karo chaalis din ka ek hafta ho aur tin hafton mein
hamara yani tumhaara aur mera nur ek nur ne us hayule mein phunk diya
tum puchhti ho kab se mohabbat hai
tum sochti ho kab se aashna hain
jaanan
hum duniya ki daryaft se pahle aashna hain
hamari arwah ne daryaft se pahle mohabbat ki thi
jism to ab mayassar hain
magar
hum kaenat ke wajud se pahle mil chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.