tera KHat
jab mire naam tire pyaar kā ḳhat aatā hai
chand lamhoñ ko ġham-e-hijr bhī miT jaatā hai
aisā lagtā hai tirā ḳhat nahīñ tū aaya hai
is tavassul se tasavvur meñ tujhe paayā hai
yā ki ye ḳhvāb ġham-e-hijr ne dikhlāyā hai
ḳhat ne phir qissa-e-māzī mirā dohrāyā hai
jab ye aatā hai tirī yaad meñ taḌpātā hai
jab mire naam tire pyaar kā ḳhat aatā hai
ḳhat ke alfāz se yaad aatā hai terā lahja
yaad aatā hai rifāqat kā tirī har lamha
aaj bhī tujh se bichhaḌne kā hai dil ko sadma
ab vo derīna mohabbat hai adhūrā qissa
terā ḳhat ahd-e-guzashta ko bhī dohrātā hai
jab mire naam tire pyaar kā ḳhat aatā hai
aaya ḳhat terā umīdoñ kā farishta ban kar
yā ki aaya mirī qismat kā navishta ban kar
sāmne aaya hai jo ahd-e-guzishta ban kar
terā ḳhat mujh ko tirī yaad meñ rulvātā hai
jab mire naam tire pyaar kā ḳhat aatā hai
yaad haiñ ab bhī tire pyaar kī bāteñ mujh ko
yaad haiñ saarī mohabbat kī vo ghāteñ mujh ko
yaad haiñ vasl kī vo chāñdnī rāteñ mujh ko
yaad haiñ ishq meñ khaa.ī huī māteñ mujh ko
terā ḳhat phir vahī ehsās jagā jaatā hai
jab mire naam tire pyaar kā ḳhat aatā hai
jab mere nam tere pyar ka KHat aata hai
chand lamhon ko gham-e-hijr bhi miT jata hai
aisa lagta hai tera KHat nahin tu aaya hai
is tawassul se tasawwur mein tujhe paya hai
ya ki ye KHwab gham-e-hijr ne dikhlaya hai
KHat ne phir qissa-e-mazi mera dohraya hai
jab ye aata hai teri yaad mein taDpata hai
jab mere nam tere pyar ka KHat aata hai
KHat ke alfaz se yaad aata hai tera lahja
yaad aata hai rifaqat ka teri har lamha
aaj bhi tujh se bichhaDne ka hai dil ko sadma
ab wo derina mohabbat hai adhura qissa
tera KHat ahd-e-guzashta ko bhi dohraata hai
jab mere nam tere pyar ka KHat aata hai
aaya KHat tera umidon ka farishta ban kar
ya ki aaya meri qismat ka nawishta ban kar
samne aaya hai jo ahd-e-guzishta ban kar
tera KHat mujh ko teri yaad mein rulwata hai
jab mere nam tere pyar ka KHat aata hai
yaad hain ab bhi tere pyar ki baaten mujh ko
yaad hain sari mohabbat ki wo ghaten mujh ko
yaad hain wasl ki wo chandni raaten mujh ko
yaad hain ishq mein khai hui maten mujh ko
tera KHat phir wahi ehsas jaga jata hai
jab mere nam tere pyar ka KHat aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.