tere baad
mirī nigāh ko ab bhī tirī zarūrat hai
dil-e-tabāh ko ab bhī tirī zarūrat hai
ḳharosh-e-nāla taḌaptā hai terī furqat meñ
sukūt-e-āh ko ab bhī tirī zarūrat hai
ye sub.h-o-shām tirī justujū meñ phirte haiñ
ki mehr-o-māh ko ab bhī tirī zarūrat hai
bahār-e-zulf pareshāñ liye hai gulshan meñ
gul-o-giyāh ko ab bhī tirī zarūrat hai
zamāna DhūñD rahā hai koī nayā tūfāñ
sukūn-e-rāh ko ab bhī tirī zarūrat hai
vo valvale vo umañgeñ vo justujū na rahī
tirī sipāh ko ab bhī tirī zarūrat hai
ḳhirad ḳhamosh junūñ be-ḳharosh hai ab tak
dil-o-nigāh ko ab bhī tirī zarūrat hai
bayāñ ho ġham kā fasāna dil-e-tapāñ se kahāñ
ye baar uTThegā mirī jān-e-nā-tavāñ se kahāñ
milā na phir kahīñ lutf-e-kalām tere ba.ad
hadīs-e-shauq rahī nā-tamām tere ba.ad
jo tere dast-e-havādis shikan meñ dekhī thī
vo teġh phir na huī be-niyām tere ba.ad
bujhī bujhī sī tabī.at hai bāda-ḳhvāroñ kī
udaas udaas haiñ mīnā-o-jām tere ba.ad
banā hai harf-e-shikāyat sukūt-e-lāla-o-gul
badal gayā hai chaman kā nizām tere ba.ad
adā-e-husn kā lutf-e-ḳhirām be-ma.anī
surūd-e-shauq kī lazzat harām tere ba.ad
taras ga.ī hai samā.at tirī sadāoñ ko
sunā na phir kahīñ terā payām tere ba.ad
vo inqalāb kī rū phir palaT ga.ī afsos
buland baam haiñ phir zer-e-dām tere ba.ad
misāl-e-najm-e-sahar jagmagā ke Duub gayā
hameñ safīna kināre lagā ke Duub gayā
meri nigah ko ab bhi teri zarurat hai
dil-e-tabah ko ab bhi teri zarurat hai
KHarosh-e-nala taDapta hai teri furqat mein
sukut-e-ah ko ab bhi teri zarurat hai
ye subh-o-sham teri justuju mein phirte hain
ki mehr-o-mah ko ab bhi teri zarurat hai
bahaar-e-zulf pareshan liye hai gulshan mein
gul-o-giyah ko ab bhi teri zarurat hai
zamana DhunD raha hai koi naya tufan
sukun-e-rah ko ab bhi teri zarurat hai
wo walwale wo umangen wo justuju na rahi
teri sipah ko ab bhi teri zarurat hai
KHirad KHamosh junun be-KHarosh hai ab tak
dil-o-nigah ko ab bhi teri zarurat hai
bayan ho gham ka fasana dil-e-tapan se kahan
ye bar uTThega meri jaan-e-na-tawan se kahan
mila na phir kahin lutf-e-kalam tere baad
hadis-e-shauq rahi na-tamam tere baad
jo tere dast-e-hawadis shikan mein dekhi thi
wo tegh phir na hui be-niyam tere baad
bujhi bujhi si tabiat hai baada-KHwaron ki
udas udas hain mina-o-jam tere baad
bana hai harf-e-shikayat sukut-e-lala-o-gul
badal gaya hai chaman ka nizam tere baad
ada-e-husn ka lutf-e-KHiram be-mani
surud-e-shauq ki lazzat haram tere baad
taras gai hai samaat teri sadaon ko
suna na phir kahin tera payam tere baad
wo inqalab ki ru phir palaT gai afsos
buland baam hain phir zer-e-dam tere baad
misal-e-najm-e-sahar jagmaga ke Dub gaya
hamein safina kinare laga ke Dub gaya
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 177)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.