tere bare mein sochta hun main
tere baare meñ sochtā huuñ maiñ
ba.az auqāt jab akele meñ
aur koī na paas baiThā ho
tere baare meñ sochtā huuñ maiñ
aur ka.ī baar aur logoñ kī
bhiiḌ ke bāvajūd jān-e-vafā
mujh ko terā ḳhayāl aatā hai
dar-haqīqat gudāz ulfat meñ
intihā-e-fishār hasrat meñ
shiddat-e-soz-o-sāz furqat meñ
jab mirā jī udaas hotā hai
vaqf hirmān-o-yās hotā hai
aur kisī hamdam-o-yagāne se
muskurā kar kisī bahāne se
izn-e-iz.hār chāhtā huuñ maiñ
koī ġham-ḳhvār chāhtā huuñ maiñ
mujh ko terā ḳhayāl aatā hai
tere baare meñ sochtā huuñ maiñ
tere bare mein sochta hun main
baz auqat jab akele mein
aur koi na pas baiTha ho
tere bare mein sochta hun main
aur kai bar aur logon ki
bhiD ke bawajud jaan-e-wafa
mujh ko tera KHayal aata hai
dar-haqiqat gudaz ulfat mein
intiha-e-fishaar hasrat mein
shiddat-e-soz-o-saz furqat mein
jab mera ji udas hota hai
waqf hirman-o-yas hota hai
aur kisi hamdam-o-yagane se
muskura kar kisi bahane se
izn-e-izhaar chahta hun main
koi gham-KHwar chahta hun main
mujh ko tera KHayal aata hai
tere bare mein sochta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.