tere baghair
aa ki dil kī chāñdnī rū-posh hai tere baġhair
aa ki sāz-e-zindagī ḳhāmosh hai tere baġhair
iid ho tum ko mubārak haañ magar mere liye
zindagī kyā hai vabāl-e-dosh hai tere baġhair
aa ki zahar ab bāda-e-sar-josh hai tere baġhair
hai ḳhizāñ-ālūda sub.h-e-gulsitāñ tere baġhair
ḳhanda-e-gul hai tabī.at par garāñ tere baġhair
jalva-e-sarv-o-saman meñ ab kahāñ vo dilkashī
ġharq hasrat hai dil-e-nā-shādmāñ tere baġhair
aa ki mahrūm-e-tarab huuñ jān-e-jāñ tere baġhair
ro rahe haiñ ġhuncha-o-barg-o-shajar tere baġhair
baaġh kī saarī fazā hai nauhagar tere baġhair
ik basīt ehsās-e-mahrūmī mirī har saañs meñ
kar rahā hai zindagī ko muḳhtasar tere baġhair
aa ki ab tārīk hai saarā jahāñ tere baġhair
dil ko aa.e kyā mohabbat meñ sukūñ tere baġhair
ho ga.e aql-o-ḳhirad nazr-e-junūñ tere baġhair
dil hai aur āThoñ-pahar ik vahshat-e-be-iḳhtiyār
aañkh hai aur bārish-e-sailāb-e-ḳhūñ tere baġhair
aa ki rusvā hai mirā hāl-e-zabūñ tere baġhair
aa ki dil ki chandni ru-posh hai tere baghair
aa ki saz-e-zindagi KHamosh hai tere baghair
id ho tum ko mubarak han magar mere liye
zindagi kya hai wabaal-e-dosh hai tere baghair
aa ki zahar ab baada-e-sar-josh hai tere baghair
hai KHizan-aluda subh-e-gulsitan tere baghair
KHanda-e-gul hai tabiat par garan tere baghair
jalwa-e-sarw-o-saman mein ab kahan wo dilkashi
gharq hasrat hai dil-e-na-shadman tere baghair
aa ki mahrum-e-tarab hun jaan-e-jaan tere baghair
ro rahe hain ghuncha-o-barg-o-shajar tere baghair
bagh ki sari faza hai nauhagar tere baghair
ek basit ehsas-e-mahrumi meri har sans mein
kar raha hai zindagi ko muKHtasar tere baghair
aa ki ab tarik hai sara jahan tere baghair
dil ko aae kya mohabbat mein sukun tere baghair
ho gae aql-o-KHirad nazr-e-junun tere baghair
dil hai aur aaThon-pahar ek wahshat-e-be-iKHtiyar
aankh hai aur barish-e-sailab-e-KHun tere baghair
aa ki ruswa hai mera haal-e-zabun tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.