tere hone se
dil kī koñpal harī tere hone se hai
zindagī zindagī tere hone se hai
kisht-zāroñ meñ tū kār-ḳhānoñ meñ tū
in zamīnoñ meñ tū āsmānoñ meñ tū
sher meñ nasr meñ dāstānoñ meñ tū
shahr o sahrā meñ tū aur chaTānoñ meñ tū
husn-e-sūrat-garī tere hone se hai
zindagī zindagī tere hone se hai
tujh se hai āfrīnash numū irtiqā
tujh se haiñ qāfile rāste rahnumā
tū na hotī to kyā thā chaman kyā sabā
kaise kaTtā safar dard kā yaas kā
aas kī raushnī tere hone se hai
zindagī zindagī tere hone se hai
ḳhauf o nafrat kī har had miTāne nikal
aql-o-dānish kī sham.eñ jalāne nikal
zer-dastoñ kī himmat bañdhāne nikal
ham-ḳhayāl aur apne banāne nikal
ab kushā be-kasī tere hone se hai
zindagī zindagī tere hone se hai
dil ki konpal hari tere hone se hai
zindagi zindagi tere hone se hai
kisht-zaron mein tu kar-KHanon mein tu
in zaminon mein tu aasmanon mein tu
sher mein nasr mein dastanon mein tu
shahr o sahra mein tu aur chaTanon mein tu
husn-e-surat-gari tere hone se hai
zindagi zindagi tere hone se hai
tujh se hai aafrinash numu irtiqa
tujh se hain qafile raste rahnuma
tu na hoti to kya tha chaman kya saba
kaise kaTta safar dard ka yas ka
aas ki raushni tere hone se hai
zindagi zindagi tere hone se hai
KHauf o nafrat ki har had miTane nikal
aql-o-danish ki shamen jalane nikal
zer-daston ki himmat bandhane nikal
ham-KHayal aur apne banane nikal
ab kusha be-kasi tere hone se hai
zindagi zindagi tere hone se hai
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 279)
- Author : habib jaalib
- Publication : Tahir publishar,lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.