tere siwa
sochtā huuñ ki tire pyaar ke badle mujh ko
kyā milā dard-o-ġham-o-ranj-o-musībat ke sivā
ik taḌap ek kasak ek ḳhalish hai paiham
ek lamha bhī sukūñ kā na mire paas rahā
aur tū ajnabī āġhosh kī zīnat ban kar
ik chamaktī huī firdaus meñ jā baiThī hai
raqs karte haiñ na.e ḳhvāb nigāhoñ meñ tirī
dil se maazī ke sabhī naqsh miTā baiThī hai
merī mahbūb mire dil ke siyah-ḳhāne meñ
jhilmilātī haiñ tirī yaad kī sham.eñ ab bhī
āhaTeñ terī tasavvur meñ basī haiñ ab tak
tere jalvoñ se sajī haiñ mirī nazreñ ab bhī
merī taḳh.īl ke ḳhvābīda darīchoñ se abhī
terī paa.el ke chhanakne kī sadā aatī hai
mere ehsās pe lahrātī haiñ zulfeñ terī
jab kabhī jhuum ke sāvan kī ghaTā aatī hai
maiñ ne har chand tujhe bhūlnā chāhā lekin
phir bhī āñkhoñ meñ tire ḳhvāb machal jaate haiñ
ab talak bhī mirī fikroñ ke tarāshīda ḳhutūt
jaane kyuuñ tere ḳhad-o-ḳhāl meñ Dhal jaate haiñ
ab ye sochā hai ki phir dil meñ samo lūñgā tujhe
jazb kar lūñgā nigāhoñ meñ tire naqsh-e-hasīñ
kyūñki shāyad mirī taḳhlīq mire fan kā suhāg
tujh se hai terī qasam tere sivā kuchh bhī nahīñ
sochta hun ki tere pyar ke badle mujh ko
kya mila dard-o-gham-o-ranj-o-musibat ke siwa
ek taDap ek kasak ek KHalish hai paiham
ek lamha bhi sukun ka na mere pas raha
aur tu ajnabi aaghosh ki zinat ban kar
ek chamakti hui firdaus mein ja baiThi hai
raqs karte hain nae KHwab nigahon mein teri
dil se mazi ke sabhi naqsh miTa baiThi hai
meri mahbub mere dil ke siyah-KHane mein
jhilmilati hain teri yaad ki shamen ab bhi
aahaTen teri tasawwur mein basi hain ab tak
tere jalwon se saji hain meri nazren ab bhi
meri taKHil ke KHwabida darichon se abhi
teri pael ke chhanakne ki sada aati hai
mere ehsas pe lahraati hain zulfen teri
jab kabhi jhum ke sawan ki ghaTa aati hai
main ne har chand tujhe bhulna chaha lekin
phir bhi aankhon mein tere KHwab machal jate hain
ab talak bhi meri fikron ke tarashida KHutut
jaane kyun tere KHad-o-KHal mein Dhal jate hain
ab ye socha hai ki phir dil mein samo lunga tujhe
jazb kar lunga nigahon mein tere naqsh-e-hasin
kyunki shayad meri taKHliq mere fan ka suhag
tujh se hai teri qasam tere siwa kuchh bhi nahin
- Book : Naqd-e-jan (Pg. 40)
- Author : Shahid Akhtar
- Publication : madhya pradesh urdu academy Bhopal (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.