teri aawaz
raat sunsān thī bojhal thiiñ fazā kī sāñseñ
ruuh par chhā.e the be-nām ġhamoñ ke saa.e
dil ko ye zid thī ki tū aa.e tasallī dene
merī koshish thī ki kambaḳht ko niiñd aa jaa.e
der tak ā.ankhoñ meñ chubhtī rahī tāroñ kī chamak
der tak zehn sulagtā rahā tanhā.ī meñ
apne Thukrā.e hue dost kī pursish ke liye
to na aa.ī magar us raat kī pahnā.ī meñ
yuuñ achānak tirī āvāz kahīñ se aa.ī
jaise parbat kā jigar chiir ke jharnā phūTe
yā zamīnoñ kī mohabbat meñ taḌap kar nāgāh
āsmānoñ se koī shoḳh sitāra TuuTe
shahad sā ghul gayā talḳhāba-e-tanhā.ī meñ
rañg sā phail gayā dil ke siyah-ḳhāne meñ
der tak yuuñ tirī mastāna sadā.eñ gaūñjīñ
jis tarah phuul chaTakne lageñ vīrāne meñ
tū bahut duur kisī anjuman-e-nāz meñ thī
phir bhī mahsūs kiyā maiñ ne ki tū aa.ī hai
aur naġhmoñ meñ chhupā kar mire kho.e hue ḳhvāb
merī rūThī huī nīndoñ ko manā laa.ī hai
raat kī sat.h par ubhre tire chehre ke nuqūsh
vahī chup-chāp sī āñhkeñ vahī saada sī nazar
vahī Dhalkā huā āñchal vahī raftār kā ḳham
vahī rah rah ke lachaktā huā nāzuk paikar
tū mire paas na thī phir bhī sahar hone tak
terā har saañs mire jism ko chhū kar guzrā
qatra qatra tire dīdār kī shabnam Tapkī
lamha lamha tirī ḳhushbū se mo.attar guzrā
ab yahī hai tujhe manzūr to ai jān-e-qarār
maiñ tirī raah na dekhūñgā siyah rātoñ meñ
DhūñDh leñgī mirī tarsī huī nazreñ tujh ko
naġhma o sher kī umDī huī barsātoñ meñ
ab tirā pyaar satā.egā to merī hastī
tirī mastī bharī āvāz meñ Dhal jā.egī
aur ye ruuh jo tere liye bechain sī hai
giit ban kar tire hoñToñ pe machal jā.egī
tere naġhmāt tire husn kī ThanDak le kar
mere tapte hue māhaul meñ aa jā.eñge
chand ghaḌiyoñ ke liye huuñ ki hamesha ke liye
mirī jaagī huī rātoñ ko sulā jā.eñge
raat sunsan thi bojhal thin faza ki sansen
ruh par chhae the be-nam ghamon ke sae
dil ko ye zid thi ki tu aae tasalli dene
meri koshish thi ki kambaKHt ko nind aa jae
der tak aaankhon mein chubhti rahi taron ki chamak
der tak zehn sulagta raha tanhai mein
apne Thukrae hue dost ki pursish ke liye
to na aai magar us raat ki pahnai mein
yun achanak teri aawaz kahin se aai
jaise parbat ka jigar chir ke jharna phuTe
ya zaminon ki mohabbat mein taDap kar nagah
aasmanon se koi shoKH sitara TuTe
shahad sa ghul gaya talKHaba-e-tanhai mein
rang sa phail gaya dil ke siyah-KHane mein
der tak yun teri mastana sadaen gaunjin
jis tarah phul chaTakne lagen virane mein
tu bahut dur kisi anjuman-e-naz mein thi
phir bhi mahsus kiya main ne ki tu aai hai
aur naghmon mein chhupa kar mere khoe hue KHwab
meri ruThi hui nindon ko mana lai hai
raat ki sath par ubhre tere chehre ke nuqush
wahi chup-chap si aanhken wahi sada si nazar
wahi Dhalka hua aanchal wahi raftar ka KHam
wahi rah rah ke lachakta hua nazuk paikar
tu mere pas na thi phir bhi sahar hone tak
tera har sans mere jism ko chhu kar guzra
qatra qatra tere didar ki shabnam Tapki
lamha lamha teri KHushbu se moattar guzra
ab yahi hai tujhe manzur to ai jaan-e-qarar
main teri rah na dekhunga siyah raaton mein
DhunDh lengi meri tarsi hui nazren tujh ko
naghma o sher ki umDi hui barsaton mein
ab tera pyar sataega to meri hasti
teri masti bhari aawaz mein Dhal jaegi
aur ye ruh jo tere liye bechain si hai
git ban kar tere honTon pe machal jaegi
tere naghmat tere husn ki ThanDak le kar
mere tapte hue mahaul mein aa jaenge
chand ghaDiyon ke liye hun ki hamesha ke liye
meri jagi hui raaton ko sula jaenge
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 147)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.