teri duniya mein
koī dukh miTātā nahīñ
shabd kī choT
kaun sahlā.e
mere man meñ
shabd kī choT lagī hai
choT ristī hai
dukh paltā hai
apnoñ se bhī
apnā lagtā hai
ḳhvāb bhī risne se pahle
palte haiñ
tum ne
bin dekhā ḳhvāb paal ke
kā.enāt banā.ī
tumhārī kā.enāt ke ghaav kī
kitnī masāfat meñ
dukh raushan ho jā.eñge
tumhārī kā.enāt ke
kis kone meñ
dukh sun ho jā.eñge
koi dukh miTata nahin
shabd ki choT
kaun sahlae
mere man mein
shabd ki choT lagi hai
choT risti hai
dukh palta hai
apnon se bhi
apna lagta hai
KHwab bhi risne se pahle
palte hain
tum ne
bin dekha KHwab pal ke
kaenat banai
tumhaari kaenat ke ghaw ki
kitni masafat mein
dukh raushan ho jaenge
tumhaari kaenat ke
kis kone mein
dukh sun ho jaenge
- Book : Catharsis (Pg. 38)
- Author : Dr. Shabnam Ashai
- Publication : Istiarah Publications, New Delhi (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.