teri sang
zulfoñ kī ḳhushbū
andar tak
utar rahī hai
havā.eñ
sarsarā rahī haiñ
haDDiyoñ hī koī
raag baj rahā hai
ye
tabla
ḳhāmosh hai bahut
sāvan kī phūhāroñ kī thaap tez hai
tum aao
mere sañgīt ko
sañgat dene ke liye
zulfon ki KHushbu
andar tak
utar rahi hai
hawaen
sarsara rahi hain
haDDiyon hi koi
rag baj raha hai
ye
tabla
KHamosh hai bahut
sawan ki phuhaaron ki thap tez hai
tum aao
mere sangit ko
sangat dene ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.