teri yaad
raat phir tere ḳhayāloñ ne jagāyā mujh ko
TimTimātī huī yādoñ kā zarā sā sho.ala
aaj bhaḌkā to phir ik sho.ala-e-javvāla banā
aql ne tujh ko bhulāne ke kiye laakh jatan
le ga.e mujh ko kabhī misr ke bāzāroñ meñ
kabhī italy kabhī espen ke gulzāroñ meñ
belgium ke, kabhī holland ke mai-ḳhānoñ meñ
kabhī paris, kabhī london ke sanam-ḳhānoñ meñ
aur maiñ aql kī bātoñ meñ kuchh aisā aayā
maiñ ye samjhā ki tujhe bhuul chukā huuñ shāyad
dil ne to mujh se ka.ī baar kahā vahm hai ye
is tarah tujh ko bhulānā koī āsān nahīñ
maiñ magar vahm meñ kuchh aisā giraftār rahā
maiñ ye samjhā ki tujhe bhuul chukā huuñ shāyad
kal magar phir tirī āvāz ne taḌpā hī diyā
ālam-e-ḳhvāb se goyā mujhe chauñkā hī diyā
aur phir terā har ik naqsh mire sāmne thā
tirī zulfeñ, tirī zulfoñ kī ghaTāoñ kā samāñ
tirī chitvan, tirī chitvan vahī bātin kā surāġh
tire aariz vahī ḳhush-rañg mahakte hue phuul
tirī āñkheñ vo sharāboñ ke chhalakte hue jaam
tire lab jaise sajā.e hue do barg-e-gulāb
tirī har baat kā andāz tirī chaal kā husn
tire aane kā nazārā tire jaane kā samāñ
tirā har naqsh to kyā tū hī mire sāmne thī
dil ne jo baat ka.ī baar kahī thī mujh se
shab ke anvār meñ bhī din ke añdheroñ meñ bhī
mire ehsās meñ ab guuñj rahī thī paiham
is tarah tujh ko bhulānā koī āsān nahīñ
dil haqīqat hai koī ḳhvāb-e-pareshāñ to nahīñ
yaad mānind-e-ḳhirad maslahat-andesh nahīñ
Dūbtī ye nahīñ holland ke mai-ḳhānoñ meñ
gum nahīñ hotī ye paris ke sanam-ḳhānoñ meñ
ye bhaTaktī nahīñ espen ke gulzāroñ meñ
bhūltī raah nahīñ misr ke bāzāroñ meñ
yaad mānind-e-ḳhirad maslahat-andesh nahīñ
aql ayyār hai sau bhes banā letī hai
yaad kā aaj bhī andāz vahī hai ki jo thā
aaj bhī us kā hai āhañg vahī rañg vahī
bhes hai us kā vahī taur vahī Dhañg vahī
phir isī yaad ne kal raat jagāyā mujh ko
aur phir terā har ik naqsh mire sāmne thā
raat phir tere KHayalon ne jagaya mujh ko
TimTimati hui yaadon ka zara sa shoala
aaj bhaDka to phir ek shoala-e-jawwala bana
aql ne tujh ko bhulane ke kiye lakh jatan
le gae mujh ko kabhi misr ke bazaron mein
kabhi italy kabhi espen ke gulzaron mein
belgium ke, kabhi holland ke mai-KHanon mein
kabhi paris, kabhi london ke sanam-KHanon mein
aur main aql ki baaton mein kuchh aisa aaya
main ye samjha ki tujhe bhul chuka hun shayad
dil ne to mujh se kai bar kaha wahm hai ye
is tarah tujh ko bhulana koi aasan nahin
main magar wahm mein kuchh aisa giraftar raha
main ye samjha ki tujhe bhul chuka hun shayad
kal magar phir teri aawaz ne taDpa hi diya
aalam-e-KHwab se goya mujhe chaunka hi diya
aur phir tera har ek naqsh mere samne tha
teri zulfen, teri zulfon ki ghaTaon ka saman
teri chitwan, teri chitwan wahi baatin ka suragh
tere aariz wahi KHush-rang mahakte hue phul
teri aankhen wo sharabon ke chhalakte hue jam
tere lab jaise sajae hue do barg-e-gulab
teri har baat ka andaz teri chaal ka husn
tere aane ka nazara tere jaane ka saman
tera har naqsh to kya tu hi mere samne thi
dil ne jo baat kai bar kahi thi mujh se
shab ke anwar mein bhi din ke andheron mein bhi
mere ehsas mein ab gunj rahi thi paiham
is tarah tujh ko bhulana koi aasan nahin
dil haqiqat hai koi KHwab-e-pareshan to nahin
yaad manind-e-KHirad maslahat-andesh nahin
Dubti ye nahin holland ke mai-KHanon mein
gum nahin hoti ye paris ke sanam-KHanon mein
ye bhaTakti nahin espen ke gulzaron mein
bhulti rah nahin misr ke bazaron mein
yaad manind-e-KHirad maslahat-andesh nahin
aql ayyar hai sau bhes bana leti hai
yaad ka aaj bhi andaz wahi hai ki jo tha
aaj bhi us ka hai aahang wahi rang wahi
bhes hai us ka wahi taur wahi Dhang wahi
phir isi yaad ne kal raat jagaya mujh ko
aur phir tera har ek naqsh mere samne tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.