teri yaad
sahar-o-shām tujhe yaad kiyā karte haiñ
terī hī yaad se dil shaad kiyā karte haiñ
haq to ye hai ki shab-o-roz terī rahmat se
dil-e-barbād ko ābād kiyā karte haiñ
tujh ko manzūr hai āsā.ish-e-ḳhilqat yā-rab
tere bande sitam ījād kiyā karte haiñ
ban ke panchhī jo giraftār-e-balā hote haiñ
vo faqat shikva-e-bedād kiyā karte haiñ
aag lag jaa.e mabādā kahīñ sayyād ke ghar
Dar ke āh-e-dil-e-nāshād kiyā karte haiñ
jo galā phaaḌ ke murġhān-e-sahar bolte haiñ
apne nāloñ ko vo barbād kiyā karte haiñ
ishq vaale ‘purī’ parvāna-sifat jalte haiñ
vo taḌapte haiñ na fariyād kiyā karte haiñ
sahar-o-sham tujhe yaad kiya karte hain
teri hi yaad se dil shad kiya karte hain
haq to ye hai ki shab-o-roz teri rahmat se
dil-e-barbaad ko aabaad kiya karte hain
tujh ko manzur hai aasaish-e-KHilqat ya-rab
tere bande sitam ijad kiya karte hain
ban ke panchhi jo giraftar-e-bala hote hain
wo faqat shikwa-e-bedad kiya karte hain
aag lag jae mabaada kahin sayyaad ke ghar
Dar ke aah-e-dil-e-nashad kiya karte hain
jo gala phaD ke murghan-e-sahar bolte hain
apne nalon ko wo barbaad kiya karte hain
ishq wale ‘puri’ parwana-sifat jalte hain
wo taDapte hain na fariyaad kiya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.