teri yaad
maiñ tirī yaad ko siine se lagā.e guzrā
ajnabī shahr kī mashġhūl guzar gāhoñ se
bevafā.ī kī tarah phailī huī rāhoñ se
na.ī tahzīb ke ābād bayābānoñ se
dast-e-mazdūr pe hañste hue aivānoñ se
maiñ tirī yaad ko siine se lagā.e guzrā
gaañv kī do-pahrī dhuup ke sannāToñ se
ḳhushk nahroñ ke kināroñ pe thakī chhāñv se
apne dil kī tarah roī huī pag-DanDī se
maiñ tirī yaad ko siine se lagā.e pahuñchā
bastiyāñ chhoḌ ke tarse hue vīrānoñ meñ
talḳhī-e--dahr sameTe hue mai-ḳhānoñ meñ
ḳhūn-e-insān pe palte hue insānoñ meñ
jaane pahchāne hue logoñ meñ an-jānoñ meñ
maiñ tirī yaad ko siine se lagā.e pahūñchā
apne ahbāb tire ġham ke parastāroñ meñ
apnī rūThī huī taqdīr ke ġham-ḳhvāroñ meñ
apne ham-manzil-o-ham-rāsta fankāroñ meñ
aur fankār kī sāñsoñ ke ḳharīdāroñ meñ
maiñ tirī yaad ko siine se lagā.e pahuñchā
ye samajh kar ki koī aañkh idhar uTThegī
merī maġhmūm nigāhī ko mujhe samjhegī
lekin a dost ye duniyā hai yahāñ terā ġham
ek insān ko taskīn bhī de saktā hai
ek insān kā ārām bhī le saktā hai
ḳhuuñ meñ Duubī huī tahrīr bhī ban saktā hai
ek fankār kī taqdīr bhī ban saktā hai
saarī duniyā ke magar kaam nahīñ aa saktā
sab ke hoñToñ pe tirā naam nahīñ aa saktā
main teri yaad ko sine se lagae guzra
ajnabi shahr ki mashghul guzar gahon se
bewafai ki tarah phaili hui rahon se
nai tahzib ke aabaad bayabanon se
dast-e-mazdur pe hanste hue aiwanon se
main teri yaad ko sine se lagae guzra
ganw ki do-pahri dhup ke sannaTon se
KHushk nahron ke kinaron pe thaki chhanw se
apne dil ki tarah roi hui pag-DanDi se
main teri yaad ko sine se lagae pahuncha
bastiyan chhoD ke tarse hue viranon mein
talKHi-e--dahr sameTe hue mai-KHanon mein
KHun-e-insan pe palte hue insanon mein
jaane pahchane hue logon mein an-jaanon mein
main teri yaad ko sine se lagae pahuncha
apne ahbab tere gham ke parastaron mein
apni ruThi hui taqdir ke gham-KHwaron mein
apne ham-manzil-o-ham-rasta fankaron mein
aur fankar ki sanson ke KHaridaron mein
main teri yaad ko sine se lagae pahuncha
ye samajh kar ki koi aankh idhar uTThegi
meri maghmum nigahi ko mujhe samjhegi
lekin a dost ye duniya hai yahan tera gham
ek insan ko taskin bhi de sakta hai
ek insan ka aaram bhi le sakta hai
KHun mein Dubi hui tahrir bhi ban sakta hai
ek fankar ki taqdir bhi ban sakta hai
sari duniya ke magar kaam nahin aa sakta
sab ke honTon pe tera nam nahin aa sakta
- Book : Mausam Andar Bahar ke (Pg. 84)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.