tesha-e-karb
tesha-e-karb kandhoñ pe rakhe hue
kohkan be-amāñ phir rahe haiñ yahāñ
ḳhvāhishoñ ke diye
sab dhuāñ ho ga.e
vo jo maazī ke chamkīle aurāq the
un pe likhe hue giit gum ho ga.e
ḳhvāb kī bastiyoñ meñ koī sar-phirā
apnī palkoñ se taqdīr ghaḌtā rahā
aur tārīkiyāñ muñh chhupā.e hue
hāl-e-rafta pe aañsū bahātī rahīñ
pastiyoñ ke safar se palaTte hue
dhuāñ uḌāte hue rath pareshān haiñ
yuuñ bulandī se ḳhā.if bhalā kyoñ hue
ye musāfir sabhī
oxigen se dam in kā ghuTtā hai kyoñ
tesha-e-karb kandhon pe rakhe hue
kohkan be-aman phir rahe hain yahan
KHwahishon ke diye
sab dhuan ho gae
wo jo mazi ke chamkile auraq the
un pe likhe hue git gum ho gae
KHwab ki bastiyon mein koi sar-phira
apni palkon se taqdir ghaDta raha
aur tarikiyan munh chhupae hue
haal-e-rafta pe aansu bahati rahin
pastiyon ke safar se palaTte hue
dhuan uDate hue rath pareshan hain
yun bulandi se KHaif bhala kyon hue
ye musafir sabhi
oxigen se dam in ka ghuTta hai kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.