tez raftariyan
tez raftāriyāñ
bhuuk bīmāriyāñ
nek kirdāriyāñ
jhuuT makkāriyāñ
ik sukūñ ke liye
umr bhar ḳhvāriyāñ
chāñdnī dhuup meñ
kab rahīñ yāriyāñ
zindagī jī ke mar
chhoḌ lāchāriyāñ
āsmāñ se utar
chhoḌ sardāriyāñ
ham bhale yā bure
terī fan-kāriyāñ
ghar se ūñchī na kar
chār-dīvāriyāñ
kuchh musāfir ga.e
kuchh kī tayyāriyāñ
tez raftariyan
bhuk bimariyan
nek kirdariyan
jhuT makkariyan
ek sukun ke liye
umr bhar KHwariyan
chandni dhup mein
kab rahin yariyan
zindagi ji ke mar
chhoD lachaariyan
aasman se utar
chhoD sardariyan
hum bhale ya bure
teri fan-kariyan
ghar se unchi na kar
chaar-diwariyan
kuchh musafir gae
kuchh ki tayyariyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.