Thahro! main aata hun
agar mere fasāne meñ masarrat kā koī pahlū nazar aa.e
samajh lenā
tumhāre vāste meñ raat ke gunjān jañgal se
chamakte jugnuoñ kī qīmtī sauġhāt laayā huuñ
mire andar añdhere kā samundar hai
ubhartā Dūbtā rahtā huuñ maiñ jis meñ
tumheñ ma.alūm hai merā amal ab ḳhatm hai, aur raat baaqī hai
abhī ik ghaat baaqī hai
mire ākāsh kī had meñ abhī sūraj nahīñ pahuñchā
ghanī tārīkiyoñ meñ chhaTpaTātā huuñ
maiñ apne jism ke dīvār-o-dar se sar ko Takrātā huuñ
pal meñ TuuT jaatā huuñ
na ghabrāo ki phir se ḳhud ko yakjā kar rahā huuñ maiñ
nasoñ meñ apnī phir taaza lahū ko bhar rahā huuñ maiñ
tumhāre vāste maiñ raat ke gunjān jañgal se
chamakte jugnuoñ kī qīmtī sauġhāt laatā huuñ
zarā Thahro! meñ aatā huuñ
agar mere fasane mein masarrat ka koi pahlu nazar aae
samajh lena
tumhaare waste mein raat ke gunjaan jangal se
chamakte jugnuon ki qimti saughat laya hun
mere andar andhere ka samundar hai
ubharta Dubta rahta hun main jis mein
tumhein malum hai mera amal ab KHatm hai, aur raat baqi hai
abhi ek ghat baqi hai
mere aakash ki had mein abhi suraj nahin pahuncha
ghani tarikiyon mein chhaTpaTata hun
main apne jism ke diwar-o-dar se sar ko Takraata hun
pal mein TuT jata hun
na ghabrao ki phir se KHud ko yakja kar raha hun main
nason mein apni phir taza lahu ko bhar raha hun main
tumhaare waste main raat ke gunjaan jangal se
chamakte jugnuon ki qimti saughat lata hun
zara Thahro! mein aata hun
- Book : Chand Chiragh (Pg. 41)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.