thak jaogi
pāgal āñkhoñ vaalī laḌkī
itne mahñge ḳhvāb na dekho
thak jāogī
kāñch se nāzuk ḳhvāb tumhāre
TuuT ga.e to
pachhtāogī
soch kā saarā ujlā kundan
zabt kī raakh meñ ghul jā.egā
kachche-pakke rishtoñ kī ḳhushbū kā resham
khul jā.egā
tum kyā jaano
ḳhvāb safar kī dhuup ke teshe
ḳhvāb adhūrī raat kā dozaḳh
ḳhvāb ḳhayāloñ kā pachhtāvā
ḳhvāboñ kī manzil rusvā.ī
ḳhvāboñ kā hāsil tanhā.ī
tum kyā jaano
mahñge ḳhvāb ḳharīdnā hoñ to
āñkheñ bechnā paḌtī haiñ yā
rishte bhūlnā paḌte haiñ
andeshoñ kī ret na phāñkoñ
pyaas kī oT sarāb na dekho
itne mahñge ḳhvāb na dekho
thak jāogī
pagal aankhon wali laDki
itne mahnge KHwab na dekho
thak jaogi
kanch se nazuk KHwab tumhaare
TuT gae to
pachhtaogi
soch ka sara ujla kundan
zabt ki rakh mein ghul jaega
kachche-pakke rishton ki KHushbu ka resham
khul jaega
tum kya jaano
KHwab safar ki dhup ke teshe
KHwab adhuri raat ka dozaKH
KHwab KHayalon ka pachhtawa
KHwabon ki manzil ruswai
KHwabon ka hasil tanhai
tum kya jaano
mahnge KHwab KHaridna hon to
aankhen bechna paDti hain ya
rishte bhulna paDte hain
andeshon ki ret na phankon
pyas ki oT sarab na dekho
itne mahnge KHwab na dekho
thak jaogi
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 453)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.